Na tu zamin ke liye, hai na Aasman ke liye, Tera wajood hai, ab dastan ke liye. न तू ज़मीं के लिए, है न आसमां के लिए, तेरा वजूद है अब दास्ताँ के लिए| ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Aurat ne janam diya mardon ko, mardon ne use bazar diya Jab ji chaha masla, kuchala, jab ji chaha dhutkaar diya. औरत ने जन्म दिया मर्दों को, मर्दों ने उसे बाज़ार दिया, जब जी चाहा मसला, कुचला, जब जी चाहा धुत्कार दिया। ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ chehre pe khushi chha jati hai, aankhon mein suroor aa jata jab tum mujhe apna kehte ho apne pe guroor aa jata hai tum husn ki khud ik duniya ho shayad tumhe yeh maloom nahi mehfil mein tumhare aane se har chiz pe noor a jata hai hum paas se tumko kya dekhen tum jab bhi muqabil hote ho betab nigahon ke aage parda sa jarur aa jata hai jab tumse mohabbat ki humne, tab jake kahin yeh raaz khula marne ka saleeqa aate hi, jeene ka suroor aa jata hai ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠
Collection of Hindi & Urdu Poems