Bade mukhtalif jhonkho se badan hawa baadal huwa
Jalta bhunta rehta hai ab jee ka hai janjaal diya.
Sarbe falak mahlon par kiski himmat hai jo kare nazar,
Mere tute ghar me jisne chaha rasta daal diya.
Jisne iski chaah me samjha sone chandi ko bhi dhool,
Apne us aashiq ko unse har lamha khushaal kar diya .
Dunya woh bazaar hai jisme khuli tizarat hoti hai,
Jaisi uski keemat pe waisa usko maal diya.
Aas thi jisse lutf wa karam ki lekin aade waktut me,
Usne mere har sawal ko hasi hasi me taal diya.
Aaj ke daur me jab bhi kisi ke nek amaal ki baat chali,
Jisne shaqs ne usko pagal keh ke taal diya.
Gair ki har maqtoob ko usne dil se lagaya aur padha,
Mere naam ka har khat usne aastane me daal diya.
Jarwalon ke aise kade to tubelight se roushan hain.
Muflisi lekin aaj bhi manjar tel se hai kangal diya.
↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠
Manjar shahabadi
Comments
Post a Comment