Skip to main content

Posts

Showing posts from December, 2019

Ataul

देखो यह कैसा सरकार हुआ कहने को यह एक चौकीदार हुआ  Mob lynching के हौसला अफजाई से देश की बेटियों से दुष्कर्म पे ना की कार्यवाही से अर्थव्यवस्था के गिरते आंकड़े हर तिमाही से देश में शमशान और कब्रिस्तान हुआ शहीदों के नाम का वोट मांगने में गुणगान हुआ। देखो यह कैसा सरकार हुआ कहने को यह चौकीदार हुआ ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ देखो यह कैसा व्यापार हुआ कहने को एक पत्रकार हुआ विपक्ष में बैठे नेता कि रोज़ खिंचाई से खुदको भाजपा के प्रवक्ता लिपाई से मुंह को सिल रखी पैसों की उपरी कमाई से देश में राम मंदिर और पाकिस्तान हुआ  पत्रकारिता जगत में ये कैसा आविष्कार हुआ देखो यह कैसा व्यापार हुआ कहने को एक पत्रकार हुआ। ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠

Moosa Malihabadi

Mera baatin hai jo khul kar dikhai deta hai wohi andar hai jo bahar dikhai deta hai main to har shakhs mein khubi talash leta hun mujhko har seep mein gauhar dikhai deta hai ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Adab ne, qalb mein dera hai daala yahan insaniyat hai zarf-e-aala  humein sikhlaoge tarz-e-takallum ke humne to hai tehjeebon ko pala ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Raah ke khaar ko pairon se masal dete hain kar ke mismaar har ek sang ko chal dete hain Ek tum ho ke jise waqt badal deta hai aur ek hum hain jo waqt badal dete hain ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Buzurgon ki riwayat hai jumme-yari nahi jati aur us dastaar ki sare wada-dari nahi jati Ghazal ke sher kehta hun, shugufta lafz likhta hun magar lehze se kyun mere yeh chingari nahi jati wabayein kitni bakshi hain mujhe is marj ne moosa magar sach bolne ki fir bhi bimari nahi jati ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Raazi raha na dil kabhi meri raza ke saath jeena magar hai mujhko isi bewafa ke saath khushbakht hun ke baap hun do betiyon ka main