"Gulon mein rang bhare" ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Faiz Ahmad Faiz Gulon mein rang bhare baad-e-nau-bahaar chale chale bhi aao ki gulshan ka karobar chale Qafas udaas hai yaaron saba se kuchh to kaho kahin to bahr-e-khuda aaj zikr-e-yaar chale Kabhi to subah tire kunj-e-lab se ho aaghaz kabhi to shab sar-e-kakul se mushk-baar chale Bada hai dard ka rishta yeh dil gharib sahi tumhare naam pe aayenge gham-o-saar chale Jo hum pe guzri so guzri magar shab--e-hijraan humare ashk teri aqibat sanvaar chale Huzur-e-yaar huyi daftar-junun ki talab girah mein le ke garebaan ka taar taar chale Maqam 'faiz' koi raah mein jacha hi nahi jo ku-e-yaar se nikle to su-e-daar chale ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Ghazal: Faiz Ahmad Faiz " Hum Dekhenge " Lazim hai ke hum bhi dekhenge wo din ke jiska wada hai Jo lauh-e-azl mein likha hai "Hum Dekhenge" Jab Zulm-o-sitam ke koh-e-garan rooi ki tarah udd jayenge hum mehkumon ke
Collection of Hindi & Urdu Poems