Ragon mein daudte firne ke hum nahi qaayal Jab aankh se hi na tapka to fir lahu kya hai Bazeechaaye atfaal hai dunya mere aage Hota hai shabo roz tamasha mere aage Qai’de hayaat -o-bando ghum, asl mein dono ek hain Maut se pehle aadmi ghum se nijaat paye kyun Hazaaro’n khwaahishen aisi ki har khwaahish pe dum nikle Bahut nikle mere armaa’n magar fir bhi kam nikle Waiz, teri dua’a me asar ho To masjid ko hila ke dikha Nahi to do ghoont pi. Hum ne mohabbat ke nashe mein aakar use khuda bana daala Hosh tab aaya, jab usne kaha khuda kisi ek ka nahi hota’a Aah ko chahiye ik umr asar hone tak, Kaun jeeta hai teri umr ke sa’r hone tak ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Dil’e nadaan tujhe hua’a kya hai, Aakhir is dard ki dawa’a kya hai ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Bas ki duswaar hai, har kaam ka aasaan hona Aadmi ko bhi mayassar nahi insaan hona Hain aur bhi dunya mein sukhan, var bahut acche Kehte hain ki ghalib ka hai andaaz-e-bayaan aur Hum ko maalum hai zannat ki ha
Collection of Hindi & Urdu Poems