Kuch bolti, kuch maangti,kuch puchti aankhen .
Hai meri tasveer me wohi jheel si aankhen.
Sau teer chala kar bhi woh anjaan hai kitni,
Masoom bani rehti hai qaatil teri aankhen.
Roushan to sitaare bhi hain aur chaand bhi humram,
Par dil ke andhere me hai jugnu teri ankhen.
Dil le gai mera badi masoom ada se,
Uthti hui jhukti hui hairat bhari aankhen.
Uljhi si,pareshaan si,udasi liye aankhen.
Har rah me har mod par kuch dhunti aankhen.
Kuch tujh ko khabar hai ke nahi bhulne wale,
Taakti hai teri raah tujhe dhunti aankhen.
Ashrat ye tasawwur bhi ral jata hai aqsar,
Woh aayega bujhte huwe kehne lagi aankhe.
Alys Asrat
Comments
Post a Comment