Skip to main content

Sahir Ludhyanvi

Na tu zamin ke liye, hai na Aasman ke liye,
Tera wajood hai, ab dastan ke liye.

न तू ज़मीं के लिए, है न आसमां के लिए,
तेरा वजूद है अब दास्ताँ के लिए|

↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠

Aurat ne janam diya mardon ko, mardon ne use bazar diya
Jab ji chaha masla, kuchala, jab ji chaha dhutkaar diya.

औरत ने जन्म दिया मर्दों को, मर्दों ने उसे बाज़ार दिया,
जब जी चाहा मसला, कुचला, जब जी चाहा धुत्कार दिया।

↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠

chehre pe khushi chha jati hai, aankhon mein suroor aa jata
jab tum mujhe apna kehte ho apne pe guroor aa jata hai

tum husn ki khud ik duniya ho shayad tumhe yeh maloom nahi
mehfil mein tumhare aane se har chiz pe noor a jata hai

hum paas se tumko kya dekhen tum jab bhi muqabil hote ho
betab nigahon ke aage parda sa jarur aa jata hai

jab tumse mohabbat ki humne, tab jake kahin yeh raaz khula
marne ka saleeqa aate hi, jeene ka suroor aa jata hai

↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠




Popular posts from this blog

Zubair Ali Tabish

Main kya bataun woh kitna kareeb hai mere mera khayal bhi usko sunai deta hai woh jisne aankh ata'a ki hai dekhne ke liye usi ko chhod ke sab kuch dikhai deta hai isi khushi ne mera dum nikal rakha hai ke usne ab bhi mera ghum sambhal rakha hai main khaak hi to hun aakhir mera banega kya mujhe kumhaar ne chakkar mein daal rakha hai ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ rokar apni har zid manwa sakta hun main pani se patthar pighla sakta hun shukr hai koi chadar mere pass nahi jitne marzi paanv faila sakta hun mujhko itni dhoom se rukhsat mat kijiye mera kya main wapas bhi aa sakta hun ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Paheli zindagi ki, kab tu aye nadaan samjhega bahut dushwariyan hongi agar aasaan samjhega kisi bhuke se mat puchho mohabbat kisko kehte hain tum aanchal bichhao-ge woh dastarkhwan samjhega ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Is zamane ko zamane ki ada'a aati hai aur ek hum hain humein sirf wafa'a aati hai Chudiyan bech ke woh layi mere liye guitar taar chhedun to kha...

Allama Muhammad Iqbal

Ilm mein bhi surur hai lekin Yeh woh zannat hai jismein hoor nahi. ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠  Apne man mein doob kar pa ja surag aye zindagi Tu agar mera nahi banta to na ban, apna to ban. ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠  Koi ebadat ki chahat me roya, Koi ebadat ki raah me roya, Koi yar ki bewafai pe roya, Koi yar ko mana ke roya, Ajeeb hai ye Namaz-e-mohabbat ka silsila iqbal, Koi kaza karke roya koi ada karke roya ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠  Dasht to dasht hai dariya bhi na chhode humne,  Bahar-e-Zulmaat mein dauda diye ghode humne! ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Hai Ram ke wajood pe hindustan ko naaz Ahl-e-Najar samajhte hain usko Imam-e-Hind है राम के वजूद पे हिन्दोस्तान को नाज़ अहल-ए-नजर समझते हैं उसको इमाम-ए-हिन्द ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Lab pe aati hai dua ban ke tamanna meri zindagi shamma ki surat ho khudaya meri Ho mere dum se yunhi mere watan ki zeenat jis tarah phool se hoti hai chaman ki zeenat zindagi ho meri parwane ki soorat ya rab ilm ki shamma se ho mujhko mohabbat ya rab ho mera kaam gar...

Munawwar Rana

Hamare kuch gunahon ki saza bhi saath chalti hai Ab hum tanha nahi, dawa bhi saath chalti hai Abhi zinda hai maa meri, mujhe kuchh nahi hoga, Main Ghar se jab nikalta hun, dua bhi saath chalti hai ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Labon par uske kabhi baddua nahi hoti Bas ek maa hai jo kabhi khafa nahi hoti Iss tarah gunahon ko wo meri dho deti hai Maa bahut gusse mein hoti hai to ro deti hai ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Aye andhere, dekh le muh tera kala ho gaya, maa ne aankhe khol di ghar mein ujala ho gaya ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Teri yaadon ne bakhshi hai humein yeh zindagi warna Bahut pehle hi hum kissa kahani ho gaye hote ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Maine kal shab, chahaton ki sab kitabein faad di Sirf ek kaagaz pe likha lafz, maa rehne diya ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Chalti firti hui aankhon se azaan dekhi hai Maine jannat to nahi dekhi hai, maa dekhi hai ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Daulat se mohabbat to nahi thi mujhe lekin Bacchon ne khilaunon ki taraf dekh liya hai ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Hans ke milti hai magar kaafi thaki lagti h...