Skip to main content

Kabir

Durbal ko na sataiye, vaa kee motee haay
Bina saans ki chaam se, loh bhasam hoyi jaay

दुर्बल को ना सताइये, वा की मोटी हाय
बिना साँस की चाम से, लोह भसम होई जाये

↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠

Bada hua to kya hua Jaise ped khajur
Panthi Ko Chhaya nahi, phal Lage ati door

बड़ा हुआ तो क्या हुआ जैसे पेड़ खजूर,
पंथी को छाया नहीं, फल लगे अती दूर।

↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠

Murakh sang na kijiye, Loha jal na tirayi
Kadali, seep, bhujang-mukh, ek boond tihun bhai.

मुरख संग ना कीजिए, लोहा जल ना तराई
कदली, सीप, bhujang-mukh, एक बूंद तिहुं भाई।

↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠

Kabir sabh te hum bure, hum taji bhal sab koi
Jini Aisa Kari bujhiya, meet humara soi

कबीर सभ ते हम बुरे, हम तजी भल सब कोई
जिनी ऐसा करी बुखिया, मीत हमारा सोई।
↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠

Hira tahan na kholiye, Jahan khoti hai haati
Kaskari baandho gaathri, uthi Kari chaalau baati

हीरा तहां न खोलिये, जहां खोटी है हाटि
कसकरि बाँधो गाठरी, उठि करि चालौ बाटि

↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠

Saadho, dekho jag baurana
Saanchi Kahi to maaran dhaavai, jhuthe jag patiyana
Hindu kahat Ram humara, Musalman Rahmana
Aapas mein Dou ladei Marat hain, Maram koi nahi Jaana.

साधो, देखो जग बौराना
साँची कही तो मारन धावै, झूठे जग पतियाना
हिन्दू कहत,राम हमारा, मुसलमान रहमाना
आपस में दौऊ लड़ै मरत हैं, मरम कोई नहिं जाना

↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠

Padha, suna, seekha sabhi miti na sanshay shool
Kahe Kabir Kaso kahu, yeh sab dukh ka mool

पढ़ा सुना सीखा सभी, मिटी न संशय शूल
कहे कबीर कसो कहूं, यह सब दुःख का मूल |

↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠

kali kaal tatkaal hai, bura karo jini koyi
An bove loha daahine, bove su luntaa hoi

कलि काल तत्काल है, बुरा करो जिनि कोई
ान बोवै लोहा दाहिने, बोवै सु लुनता होई

↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠

Jahan daya tahan dharm hai, jahan lobh tahan paap
jahan krodh tahan kaal hai, jahan kshama tahan aap

जहाँ दया तहं धर्म है, जहाँ लोभ तहं पाप
जहाँ क्रोध तहं काल है, जहाँ क्षमा तहं आप

↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠

Manahi manorath chhadi de, tera kiya na hoi 
Paani mein gheev nikase, to rukhaa khaai na koi
मनहिं मनोरथ छाड़ी दे, तेरा किया न होइ

पांणी मैं घीव नीकसै, तौ रूखा खाइ न कोइ

↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠

Jab main thaa tab Hari naahin, ab Hari hain main naahin 
Sab andhiyaaraa miti gayaa, jab deepak dekhyaa maahin
जब मैं था तब हरि नाहिं, अब हरि हैं मैं नाहिं सब अँधियारा मिटि गया, जब दीपक देख्या माहिं

↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠

kaaya manjan kya kare, kapad dhoim dhoi ujal bhaaye na chhutiye, sukh nindri na soi काया मंजन क्या करै, कपड़ धोइम धोइ ऊजल भए न छूटिए, सुख नींदरी न सोइ

↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠

Kabir duniya dehurai, sees navaanvan jaai
Hirda bheetar hari basai, tu taahee saun lyau laai

कबीर दुनिया देहुरै, सीस नवांवण जाइ
हिरदा भीतर हरि बसै, तू ताही सौं ल्यौ लाइ

Comments

Popular posts from this blog

Zubair Ali Tabish

Main kya bataun woh kitna kareeb hai mere mera khayal bhi usko sunai deta hai woh jisne aankh ata'a ki hai dekhne ke liye usi ko chhod ke sab kuch dikhai deta hai isi khushi ne mera dum nikal rakha hai ke usne ab bhi mera ghum sambhal rakha hai main khaak hi to hun aakhir mera banega kya mujhe kumhaar ne chakkar mein daal rakha hai ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ rokar apni har zid manwa sakta hun main pani se patthar pighla sakta hun shukr hai koi chadar mere pass nahi jitne marzi paanv faila sakta hun mujhko itni dhoom se rukhsat mat kijiye mera kya main wapas bhi aa sakta hun ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Paheli zindagi ki, kab tu aye nadaan samjhega bahut dushwariyan hongi agar aasaan samjhega kisi bhuke se mat puchho mohabbat kisko kehte hain tum aanchal bichhao-ge woh dastarkhwan samjhega ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Is zamane ko zamane ki ada'a aati hai aur ek hum hain humein sirf wafa'a aati hai Chudiyan bech ke woh layi mere liye guitar taar chhedun to kha

Allama Muhammad Iqbal

Ilm mein bhi surur hai lekin Yeh woh zannat hai jismein hoor nahi. ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠  Apne man mein doob kar pa ja surag aye zindagi Tu agar mera nahi banta to na ban, apna to ban. ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠  Koi ebadat ki chahat me roya, Koi ebadat ki raah me roya, Koi yar ki bewafai pe roya, Koi yar ko mana ke roya, Ajeeb hai ye Namaz-e-mohabbat ka silsila iqbal, Koi kaza karke roya koi ada karke roya ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠  Dasht to dasht hai dariya bhi na chhode humne,  Bahar-e-Zulmaat mein dauda diye ghode humne! ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Hai Ram ke wajood pe hindustan ko naaz Ahl-e-Najar samajhte hain usko Imam-e-Hind है राम के वजूद पे हिन्दोस्तान को नाज़ अहल-ए-नजर समझते हैं उसको इमाम-ए-हिन्द ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Lab pe aati hai dua ban ke tamanna meri zindagi shamma ki surat ho khudaya meri Ho mere dum se yunhi mere watan ki zeenat jis tarah phool se hoti hai chaman ki zeenat zindagi ho meri parwane ki soorat ya rab ilm ki shamma se ho mujhko mohabbat ya rab ho mera kaam garibon ki himayat kar

Munawwar Rana

Hamare kuch gunahon ki saza bhi saath chalti hai Ab hum tanha nahi, dawa bhi saath chalti hai Abhi zinda hai maa meri, mujhe kuchh nahi hoga, Main Ghar se jab nikalta hun, dua bhi saath chalti hai ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Labon par uske kabhi baddua nahi hoti Bas ek maa hai jo kabhi khafa nahi hoti Iss tarah gunahon ko wo meri dho deti hai Maa bahut gusse mein hoti hai to ro deti hai ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Aye andhere, dekh le muh tera kala ho gaya, maa ne aankhe khol di ghar mein ujala ho gaya ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Teri yaadon ne bakhshi hai humein yeh zindagi warna Bahut pehle hi hum kissa kahani ho gaye hote ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Maine kal shab, chahaton ki sab kitabein faad di Sirf ek kaagaz pe likha lafz, maa rehne diya ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Chalti firti hui aankhon se azaan dekhi hai Maine jannat to nahi dekhi hai, maa dekhi hai ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Daulat se mohabbat to nahi thi mujhe lekin Bacchon ne khilaunon ki taraf dekh liya hai ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Hans ke milti hai magar kaafi thaki lagti h