Skip to main content

Posts

Showing posts from March, 2018

Zindagi ko sawaar dete hain

Aap jo mujhko pyar dete hain. Zindagi ko sawaar dete hain. Jab fiza me ajab udasi ho, Aap mausam nikhaar dete ho. Ab khwaja hai kahan kise maloom, Aap jab se baahar gaye ho Ghum ka mausam bhi akar laut gaya, Yun khushi be sumar dete ho. Dil dhadakta hai meri aankhon mein Kyun mujhe intezar dete ho. Kitne zalim hain log woh rukhsha, phool maango to khar dete ho. ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠       Rukhsha hashmi

Agar sab log apne hain sabhi pehchaan wale hain

Agar sab log apne hain sabhi pehchaan wale hain. To fir kisne humari samaat ye patthar uchhale hain. Wafadari ye meri kisliye shak hai harfon ko, Meri khoye wafa ki to kitabon me hawale hain. Yaquinan manjilein ek din mere kadmo ko chumegi, Ke ankhon me meri maa ke duwawon ke ujaale hain. Ye kisne khoon bahaya hai ye kisne asmate looti, Hamari ankhen sahad hai magar hontho pe taale hain. Bade bedard hote hain ye ehl-e-hasan wale, Zahir aisa lagta hai bahut hi bhole bhale hain. ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠

Main ho jaun kabhi magroor aisa ho nahi Sakta

Main ho jaun kabhi magroor aisa ho nahi Sakta Mera sarmaya ghairat hai main isko kho nahi sakta Hamara khoon hai sar chadh ke bolega jarur ek din Lage hai daag jo daaman pe quatil dho nahi sakta Gar majbur hain dono hi apne apne fitrat se, Main uska hun ye har surat wah mera ho nahi sakta. Gujarte rahte hai yadon ki teri kafile dil se, Main ankhen band bhi kar lun to hargiz so nahi sakta. Uthaana chahta hai bhari duniya apne kandho pe, Aye bismil bojh shikayaton ka apni dho nhi sakta. ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠

Ke tej dhoop me chalne se paanv jalte hain

Isiliye mere armaan nahi nikalte hain Ke tej dhoop me chalne se paanv jalte hain ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Teri talash me jis waqt hum nikalte hain Kadam bhi chalte hain nakshe kadam bhi chalte hain ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Jo tundard tej hawaon ka rukh badalte hai Jahan me sirf unhi ke chirag jalte hain ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Soye haram hi motere hum ye kiya jaruri haye Teri gali se kai raste nikalte hai ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Hum unhe dhoondhne nikle hain, dekhe kiya hoga. Ke jo nakshe kaf pe Mita ke chalte hain. ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Utha ke dos pe akhtar mohabbaton ki salib, Hum aj husn ke bajar me nikalte hai ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Akhtar

Gulzar

Socha tha ghar bana kar baithunga par ghar ki jaruraton ne, musafir bana diya !! ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Umr zaya kar di logon ne dusro mein nuks nikalte nikalte agar itna khud ko tarasha hota to farishtey ho jate ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Khwahishen to aaj bhi bagawat karna chahti hain magar seekh liya hai maine, har baat ko sine mein dafan karna ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ rooh dekhi hai kabhi? rooh ko mehsoos kiya hai? jaagte jeete hue dudhiya kohre se lipat kar saans lete huye us kohre ko mehsoos kiya hai? rooh dekhÄ« hai kabhi? ya shikare mein kisi jheel pe jab raat basar ho aur paani ke chhapaakon mein bayaan karti hain talliyan subkiyan leti havaaon ke woh bayen sune hain? chaudhvin raat ke barfaab se ik chand ko jab Dher se saaye pakadne ke liye bhagte hain tum ne sahil pe khade girje ki deewar se lag kar apni gahnati hui kokh ko mehsoos kiya hai? rooh dekhi hai kabhi? jism sau baar jale tab bhi wohi maati ka dhela hai rooh ik baar jalegi to vo kundan hogi rooh dekhi hai, rooh ko mehsoos kiya hai? ↞...

Zindagi ye hai to fir range azal kiya hoga

Sochna chhod diya humne ke kal kiya hoga, Isse behtar ghum-e-dour tera haal kiya hoga. Tum mujhe sahre badar kar to rahe ho lekin, Ye bhi socha hai ki anjame ghazal kiya hoga. Jagmagata hai jo har jarre ke dil me abtak, Hai wah husn sanam or husne azal kiya hoga. Main to kar lu ye khusi gawara lekin, Ghum-e tanhai tera radde amal kiya hoga. Gaisuye waqut ulajhte hi chale jaate hain, Har basar soch me dooba hai ki kal kiya hoga. Har nafas dar ki manand lage hai akhtar, zindagi ye hai to fir range azal kiya hoga.  ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠      Akhtar

Kitni akeli hai aaj zindagi

Kitni akeli hai aaj zindagi, Bilkul tanha,udas aur mayoos hai zindagi Bachpan nikalta hai ladte or khelte. Kitni khushiyan aur umang bhari hai zindagi. Jaise jaise jindagi chale rahon me logo ka mela, Fir bhi akeli reh jaati hai zindagi. Yaden reh jati hai bas sath apne, Jo kahte the sath nibhayenge saari zindagi. Kahin kho gayi hai aarju dil ki  aankhon se nami to gai bas rah gayi zindagi. Yun to koi sath nahi koi hamare, Bas sath hai to ye akeli zindagi.

Kadam kadam pe to jalwe khuda ke milte hain

Jo log zahir-e-chehre saja ke milte hain Dilo me aag ke shole chhupa ke milte hain. Darandagi ka khula istehaar hai lekin, Ab apne ap ko insan bana ke milte hain. Hawayen mutarda baharon ka le ke aayi hai, Hame to aaj bhi jhuken zafa ke liye milti hai. Sitam jo dhaaye hain tumne wo yaad hai lekin, Tumhari baat ko dil se bhool kar baithen hain. Fane latif ke bone adab ke mahfil me, Ab apne qad ko bhi uncha bana kar milte hai. Gali me unki gujar inka ho gaya shayad, Ye aaj jhuken jo baad-e-saba ke milte hain. qusoor kiska hai aasi na dekh paaye agar, Kadam kadam pe to jalwe khuda ke milte hain  ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ By: Aasi Rampuri

Khuda ke jab Mohammad Mustafa Quran le aaye

Khuda ke jab Mohammad Mustafa Quran le aaye, Basar ki baat kiya samsowa qamar imaan le aaye. Mohammad Mustafa jaisa zamane me nahi koi, Mere shere khuda ye dekh kar imaan le aaye. Padha jab kankaro ne momino kalma Mustafa'a ka, Hazaron ehle makka be khata imaan le aaye. Umar ne jis ghadi dekhi haseen surat Mustafa ki, Nabi ki nek sirat par umer imaan le aye. Mohammad ki bahut sohrat hui jis dam zamane me, Na jaane kitne unpar taje jar imaan le aaye. Mere pyare bhatije bakhuda sachche nabi tum ho, Chacha humja yahi to dekh kar imaan le aaye. Banaya rabbe akbar ne jinhe meraj ka dulha, Kamal hum bhi unhi ki shaan par imaan le aaye.  ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Kamal Fark Abadi

Jo mere apne hain mere marne ki aksar duwa karte hain

Jo mere apne hain mere marne ki aksar duwa karte hain Wahi to mere hain jo apne dil ke qarib rehte hai. Tang aa chuka hun mai jinke mithe julm-o-sitam se, Jo jokhim de wohi marham ki baat karte hain. Main jinke hathon mar chala, marna bhi chaha mar na saka, Jo pila kar mujhe abe-hayaat  mar jane ki dhamki dete hai. Mujhe kisi se kiya sikwa, main khud se khafa hun, Wah bhar kar bahon me mujhe, maan jane ki kasam dete hai. Tang aa chuka hun mai  jinki harkato or saajishon se, Mere sapno ke gharaonde ko gira kar makaan banane ka maswara dete hai. ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠               Salim abbas

Khud apne aap se chhupne ki aarju ki hai

Khud apne aap se chhupne ki aarju ki hai, Tanhai me yaad se jab jab guftagu ki hai ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠   Kali kali hai preshaan, phool phool udas, Ye kis jalil ne tauheen range lahu ki hai. ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠   Main ye man liya mushkilein khar hain hum log, Nasaye gul bhi magar humne hi rafu ki hai, ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠   Takheyelat ke baith kar aksar, Ye faiz husn ghazal tum se guftagu ki hai. ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠   Mujhe hi bhul gayi aye bahaar sahne chaman, Mere lahu ne teri rat sarkhard ki hai. ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠   Hamari jurrate gaftaar dekh li yaro, Jo bat ki hai zamane ke rubaru ki hai. ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠   Kissaye sahar se kuch kam nahi hai hum akhtar, Ke humne yaad parasti bhi bewaju ki hai. ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠   Akhtar

Ikhlaash ka taqaaza hai tu mujh pe jaan de

Ikhlaash ka taqaaza hai tu mujh pe jaan de, Sukhe huwe labon ke liye ek paan de. ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠   Khushboo ka raaz, raaz rahega kab talak, Aye marne wale marne se pehle bayan de. ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠   Ghum hai muattebar ka rahe sath umr bhar, Ye kaun keh raha hai ke dono jahan de. ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠   Mohallon ke khawahison se mujhe wasta nahi, Teri khushi yahi hai tu kachcha makan de. ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠   Hum kha chuke hai dhoka kayi bar ghair se, Humko bharosa hai tujh par nadar jaban de.     ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠       Nadara saloni

Zindagi tujhi se pyar kyun karte

Zindagi tujhi se pyar kyun karte, Jaisat ko apni haar kyun kehte. ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠   Jante tum Jo dil ko tajmahal, Fir use sangsar kyun kehte. ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠   Phool si apni zindagi ko, Pyar me tere khar kyun kehte. ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠   Thokron par agar mili manzil, Jokhim apne sumar kyun karte. ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠   Hausle jo buland rakhte hain, Bebasi akhtiyaar kyun karte. ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠   Raas jab aa gai khwaja nikhat, Arjuwe baahar kyun karte. ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠   Nasrin nikhat

Dekhne me to Ali log

Dekhne me to Ali log, Andar se hai khaali log. Hath se maslain ganchon ko, Kaise hai ye maali log. Banjar karke dil ka khet, Dhundhe fir haryaali log. Daman par hai laakhon de, Bane hai qaum ke wali log. Ghayal tari najron ke, Ho gaye mast wali log. Jan ke dusman wahi hai jo, Karte hai rakhwali log. Kar ke mithi mithi bat, De gaye soch nirali log. Apna ghar dete hai phoonk, Karte hai diwali log. Bachna unke jaal se tum, Arif ye hai jahil log. ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠  MD.Husain arif

Haanth me unke jo talwar hai

Haanth me unke jo talwar hai, Meri gardan ki sayad talabghar hai. Har taraf menhngaai ki maar hai, Besharam haye,haye,sarkar hai. Dindahade ranharni jo hai karta yahan, Wahi dekho rahbari ka dawedar hai. Khud ko sadhu kahta hai lutera yaha, Haye, dekho ye kaisa gaddar hai. Hosh walob tum khud ab Karo faisle, Kaon gaddar hai,kaon wafadar hai. Kabhi Delhi, Banaras, Jaipur or Bangalore, Bari,bari dahsat gardi ka shikar hai. Kaunsi hai bala jo ab aati nahi, Bat ranharni,usmat dari ki sirf bekar hai. Safed-poshon haqeekat ko samjho jara, Kaun in sab ke liye zimmedaar hai. Kitne din ke maa`jid hai rab ye saza, Jisme roo`h bhi shayad giraftar hai. Ai khalik do jahan aman de ve baha, Hai ta`alib multaza garcha khatakar hai. ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠         By - Abid rukhsan talab

Zindagi tujhe is tarah nibhaya humne

Zindagi tujhe is tarah nibhaya humne, Na ki shikayat na tujhe rulaya humne Koi de to mujhe jara dade tabbaam, Isi ummeed pe khud ko hasaya humne. Jane wale laut kar nahi aya karte, Magar intezaar ka deepak jalaya humne. Unke waade ka bharam rakhne ke liye, Ashkon se lub pe tabbaam sajaya humne. Door bahut tha jo teri yaad ka panchhi, Tanhai me apne karib paya humne. Jab se baksha hai Allah ne ghajal ka shauk, Gair to gair apno ko khafa paya humne. Is kadar bheed me unse bichad kar aksar, Zaheda apne ko akela paya humne. ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠                    Zaheda tabbaam

Jane kaise kaise rang badalti hai zindagi

Jane kaise kaise rang badalti hai zindagi, Ghum me bhi jina sikhaati hai zindagi. Kitne hi utar chadhaaw mein bhi, Bina thake chalna sikhati hai zindagi. Zindagi se pyar kar ke to dekho, Bewafai karna bhi sikhati hai zindagi. Sare apne sath chhod jate hai, par har pal sath nibhati hai Zindagi. ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠  By: Nisha

Ek dushman ne mere haq me duwa mangi hai

Dil ne ek cheez badi base baha mangi hai, Husn magroor ki fitrat se wafa mangi hai. Maslehat hai ki tuwajjo hai ke ye saa`zish hai, Ek dushman ne mere haq me duwa mangi hai. Allah Allah ye tabai rukhsar Habib, Ba raha usse ghum-e-dil ne zila maangi hai. Gardishe waqt ki talkhi se pareshaan hokar, Kitna kamzarf hai woh jisne kaza maangi hai. Aatishe dard ne kuch aur jalaaya dil ko, Dil ne jab bhi tere daaman ki hawa mangi hai. Zindagi ek saza hi sahi lekin akhtar, Hum ne har dard me jine ki duwa mangi hai. ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠  Akhtar

Kab se ye aarju thi ke ghum ki dawa mile

Kab se ye aarju thi ke ghum ki dawa mile, Lo ban gaya nasib mujhe Mustafa mile. ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠  Nasad hai ye dil mera firkat me raat din, Ab marda` wasale habibe khuda mile. ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠  Barbadion ki fikr na khushiyon ki aarju, Ye fikr hai ke daa`man khairulwari mile ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠  Aisi hun lekin aap ki ek ummati bhi hun, Aaka nijaat ka mujhe ab rasta mile. ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠  Roze pe aano aap ke aur haale dil kahun, Ijne hujuri mujh ko shaahi dusra mile. ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠  Itni hai aarju dile betaab ki meri, Aye chaand mujhko bhi da'are khairulwari mile. ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠  By: Chand bi