Dekhne me to Ali log,
Andar se hai khaali log.
Hath se maslain ganchon ko,
Kaise hai ye maali log.
Banjar karke dil ka khet,
Dhundhe fir haryaali log.
Daman par hai laakhon de,
Bane hai qaum ke wali log.
Ghayal tari najron ke,
Ho gaye mast wali log.
Jan ke dusman wahi hai jo,
Karte hai rakhwali log.
Kar ke mithi mithi bat,
De gaye soch nirali log.
Apna ghar dete hai phoonk,
Karte hai diwali log.
Bachna unke jaal se tum,
Arif ye hai jahil log.
↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠
MD.Husain arif
Comments
Post a Comment