Sochna chhod diya humne ke kal kiya hoga,
Isse behtar ghum-e-dour tera haal kiya hoga.
Tum mujhe sahre badar kar to rahe ho lekin,
Ye bhi socha hai ki anjame ghazal kiya hoga.
Jagmagata hai jo har jarre ke dil me abtak,
Hai wah husn sanam or husne azal kiya hoga.
Main to kar lu ye khusi gawara lekin,
Ghum-e tanhai tera radde amal kiya hoga.
Gaisuye waqut ulajhte hi chale jaate hain,
Har basar soch me dooba hai ki kal kiya hoga.
Har nafas dar ki manand lage hai akhtar,
zindagi ye hai to fir range azal kiya hoga.
↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠
Akhtar
Comments
Post a Comment