Skip to main content

Kitni akeli hai aaj zindagi

Kitni akeli hai aaj zindagi,
Bilkul tanha,udas aur mayoos hai zindagi

Bachpan nikalta hai ladte or khelte.
Kitni khushiyan aur umang bhari hai zindagi.

Jaise jaise jindagi chale rahon me logo ka mela,
Fir bhi akeli reh jaati hai zindagi.

Yaden reh jati hai bas sath apne,
Jo kahte the sath nibhayenge saari zindagi.

Kahin kho gayi hai aarju dil ki
 aankhon se nami to gai bas rah gayi zindagi.

Yun to koi sath nahi koi hamare,
Bas sath hai to ye akeli zindagi.

Comments

Popular posts from this blog

Zubair Ali Tabish

Main kya bataun woh kitna kareeb hai mere mera khayal bhi usko sunai deta hai woh jisne aankh ata'a ki hai dekhne ke liye usi ko chhod ke sab kuch dikhai deta hai isi khushi ne mera dum nikal rakha hai ke usne ab bhi mera ghum sambhal rakha hai main khaak hi to hun aakhir mera banega kya mujhe kumhaar ne chakkar mein daal rakha hai ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ rokar apni har zid manwa sakta hun main pani se patthar pighla sakta hun shukr hai koi chadar mere pass nahi jitne marzi paanv faila sakta hun mujhko itni dhoom se rukhsat mat kijiye mera kya main wapas bhi aa sakta hun ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Paheli zindagi ki, kab tu aye nadaan samjhega bahut dushwariyan hongi agar aasaan samjhega kisi bhuke se mat puchho mohabbat kisko kehte hain tum aanchal bichhao-ge woh dastarkhwan samjhega ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Is zamane ko zamane ki ada'a aati hai aur ek hum hain humein sirf wafa'a aati hai Chudiyan bech ke woh layi mere liye guitar taar chhedun to kha

Haanth me unke jo talwar hai

Haanth me unke jo talwar hai, Meri gardan ki sayad talabghar hai. Har taraf menhngaai ki maar hai, Besharam haye,haye,sarkar hai. Dindahade ranharni jo hai karta yahan, Wahi dekho rahbari ka dawedar hai. Khud ko sadhu kahta hai lutera yaha, Haye, dekho ye kaisa gaddar hai. Hosh walob tum khud ab Karo faisle, Kaon gaddar hai,kaon wafadar hai. Kabhi Delhi, Banaras, Jaipur or Bangalore, Bari,bari dahsat gardi ka shikar hai. Kaunsi hai bala jo ab aati nahi, Bat ranharni,usmat dari ki sirf bekar hai. Safed-poshon haqeekat ko samjho jara, Kaun in sab ke liye zimmedaar hai. Kitne din ke maa`jid hai rab ye saza, Jisme roo`h bhi shayad giraftar hai. Ai khalik do jahan aman de ve baha, Hai ta`alib multaza garcha khatakar hai. ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠         By - Abid rukhsan talab

Munawwar Rana

Hamare kuch gunahon ki saza bhi saath chalti hai Ab hum tanha nahi, dawa bhi saath chalti hai Abhi zinda hai maa meri, mujhe kuchh nahi hoga, Main Ghar se jab nikalta hun, dua bhi saath chalti hai ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Labon par uske kabhi baddua nahi hoti Bas ek maa hai jo kabhi khafa nahi hoti Iss tarah gunahon ko wo meri dho deti hai Maa bahut gusse mein hoti hai to ro deti hai ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Aye andhere, dekh le muh tera kala ho gaya, maa ne aankhe khol di ghar mein ujala ho gaya ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Teri yaadon ne bakhshi hai humein yeh zindagi warna Bahut pehle hi hum kissa kahani ho gaye hote ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Maine kal shab, chahaton ki sab kitabein faad di Sirf ek kaagaz pe likha lafz, maa rehne diya ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Chalti firti hui aankhon se azaan dekhi hai Maine jannat to nahi dekhi hai, maa dekhi hai ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Daulat se mohabbat to nahi thi mujhe lekin Bacchon ne khilaunon ki taraf dekh liya hai ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Hans ke milti hai magar kaafi thaki lagti h