Skip to main content

Gulzar

Socha tha ghar bana kar baithunga
par ghar ki jaruraton ne, musafir bana diya !!
↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠

Umr zaya kar di logon ne dusro mein nuks nikalte nikalte
agar itna khud ko tarasha hota to farishtey ho jate
↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠

Khwahishen to aaj bhi bagawat karna chahti hain
magar seekh liya hai maine, har baat ko sine mein dafan karna
↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠

rooh dekhi hai kabhi? rooh ko mehsoos kiya hai? jaagte jeete hue dudhiya kohre se lipat kar saans lete huye us kohre ko mehsoos kiya hai? rooh dekhī hai kabhi? ya shikare mein kisi jheel pe jab raat basar ho aur paani ke chhapaakon mein bayaan karti hain talliyan subkiyan leti havaaon ke woh bayen sune hain? chaudhvin raat ke barfaab se ik chand ko jab Dher se saaye pakadne ke liye bhagte hain tum ne sahil pe khade girje ki deewar se lag kar apni gahnati hui kokh ko mehsoos kiya hai? rooh dekhi hai kabhi? jism sau baar jale tab bhi wohi maati ka dhela hai rooh ik baar jalegi to vo kundan hogi rooh dekhi hai, rooh ko mehsoos kiya hai?

↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠

Popular posts from this blog

Zubair Ali Tabish

Main kya bataun woh kitna kareeb hai mere mera khayal bhi usko sunai deta hai woh jisne aankh ata'a ki hai dekhne ke liye usi ko chhod ke sab kuch dikhai deta hai isi khushi ne mera dum nikal rakha hai ke usne ab bhi mera ghum sambhal rakha hai main khaak hi to hun aakhir mera banega kya mujhe kumhaar ne chakkar mein daal rakha hai ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ rokar apni har zid manwa sakta hun main pani se patthar pighla sakta hun shukr hai koi chadar mere pass nahi jitne marzi paanv faila sakta hun mujhko itni dhoom se rukhsat mat kijiye mera kya main wapas bhi aa sakta hun ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Paheli zindagi ki, kab tu aye nadaan samjhega bahut dushwariyan hongi agar aasaan samjhega kisi bhuke se mat puchho mohabbat kisko kehte hain tum aanchal bichhao-ge woh dastarkhwan samjhega ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Is zamane ko zamane ki ada'a aati hai aur ek hum hain humein sirf wafa'a aati hai Chudiyan bech ke woh layi mere liye guitar taar chhedun to kha...

Munawwar Rana

Hamare kuch gunahon ki saza bhi saath chalti hai Ab hum tanha nahi, dawa bhi saath chalti hai Abhi zinda hai maa meri, mujhe kuchh nahi hoga, Main Ghar se jab nikalta hun, dua bhi saath chalti hai ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Labon par uske kabhi baddua nahi hoti Bas ek maa hai jo kabhi khafa nahi hoti Iss tarah gunahon ko wo meri dho deti hai Maa bahut gusse mein hoti hai to ro deti hai ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Aye andhere, dekh le muh tera kala ho gaya, maa ne aankhe khol di ghar mein ujala ho gaya ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Teri yaadon ne bakhshi hai humein yeh zindagi warna Bahut pehle hi hum kissa kahani ho gaye hote ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Maine kal shab, chahaton ki sab kitabein faad di Sirf ek kaagaz pe likha lafz, maa rehne diya ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Chalti firti hui aankhon se azaan dekhi hai Maine jannat to nahi dekhi hai, maa dekhi hai ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Daulat se mohabbat to nahi thi mujhe lekin Bacchon ne khilaunon ki taraf dekh liya hai ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Hans ke milti hai magar kaafi thaki lagti h...

Rahat Indori

Faisla jo kuch bhi ho, manjoor hona chahiye jung ho ya ishq ho bharpur hona chahiye ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Raat ki dhadkan jab tak jaari rehti hai sote nahi hum, zimedaari rehti hai ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Nadi ne dhoop se kya keh diya rawani mein ujale paanv patakne lage hain paani mein Ab itni sari shabon ka hisab kaun rakhe bade sawab kamaye gaye jawani mein ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Jagne ki bhi, jagane ki bhi aadat ho jaye kash tujh ko kisi shayar se mohabbat ho jaye door hum kitne dino se hain kabhi gaur kiya fir na kehna jo amanat mein khayanat ho jaye Ukhde padte hain mere qabr ke patthar har din tum jo aa jao kisi din to marammat ho jaye jugnuon tumko naye chand ugane honge isse pehle ke andheron ki hukumat ho jaye   ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ sarhadon par bahut tanav hai kya kuch pata to karo chunav hai kya ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Kahan jayen kidhar jayen pareshan haal rehte hain jahan hum panv rakhte hain, wahan bhuchal rehte hain mere sone ki ganga mein, meri chandi ki jamuna mein sunehri machliyan ...