Skip to main content

Ek dushman ne mere haq me duwa mangi hai

Dil ne ek cheez badi base baha mangi hai,

Husn magroor ki fitrat se wafa mangi hai.

Maslehat hai ki tuwajjo hai ke ye saa`zish hai,

Ek dushman ne mere haq me duwa mangi hai.

Allah Allah ye tabai rukhsar Habib,

Ba raha usse ghum-e-dil ne zila maangi hai.

Gardishe waqt ki talkhi se pareshaan hokar,

Kitna kamzarf hai woh jisne kaza maangi hai.

Aatishe dard ne kuch aur jalaaya dil ko,

Dil ne jab bhi tere daaman ki hawa mangi hai.

Zindagi ek saza hi sahi lekin akhtar,

Hum ne har dard me jine ki duwa mangi hai.

↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ 
Akhtar

Comments

Popular posts from this blog

Zubair Ali Tabish

Main kya bataun woh kitna kareeb hai mere mera khayal bhi usko sunai deta hai woh jisne aankh ata'a ki hai dekhne ke liye usi ko chhod ke sab kuch dikhai deta hai isi khushi ne mera dum nikal rakha hai ke usne ab bhi mera ghum sambhal rakha hai main khaak hi to hun aakhir mera banega kya mujhe kumhaar ne chakkar mein daal rakha hai ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ rokar apni har zid manwa sakta hun main pani se patthar pighla sakta hun shukr hai koi chadar mere pass nahi jitne marzi paanv faila sakta hun mujhko itni dhoom se rukhsat mat kijiye mera kya main wapas bhi aa sakta hun ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Paheli zindagi ki, kab tu aye nadaan samjhega bahut dushwariyan hongi agar aasaan samjhega kisi bhuke se mat puchho mohabbat kisko kehte hain tum aanchal bichhao-ge woh dastarkhwan samjhega ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Is zamane ko zamane ki ada'a aati hai aur ek hum hain humein sirf wafa'a aati hai Chudiyan bech ke woh layi mere liye guitar taar chhedun to kha

Haanth me unke jo talwar hai

Haanth me unke jo talwar hai, Meri gardan ki sayad talabghar hai. Har taraf menhngaai ki maar hai, Besharam haye,haye,sarkar hai. Dindahade ranharni jo hai karta yahan, Wahi dekho rahbari ka dawedar hai. Khud ko sadhu kahta hai lutera yaha, Haye, dekho ye kaisa gaddar hai. Hosh walob tum khud ab Karo faisle, Kaon gaddar hai,kaon wafadar hai. Kabhi Delhi, Banaras, Jaipur or Bangalore, Bari,bari dahsat gardi ka shikar hai. Kaunsi hai bala jo ab aati nahi, Bat ranharni,usmat dari ki sirf bekar hai. Safed-poshon haqeekat ko samjho jara, Kaun in sab ke liye zimmedaar hai. Kitne din ke maa`jid hai rab ye saza, Jisme roo`h bhi shayad giraftar hai. Ai khalik do jahan aman de ve baha, Hai ta`alib multaza garcha khatakar hai. ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠         By - Abid rukhsan talab

Rahat Indori

Faisla jo kuch bhi ho, manjoor hona chahiye jung ho ya ishq ho bharpur hona chahiye ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Raat ki dhadkan jab tak jaari rehti hai sote nahi hum, zimedaari rehti hai ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Nadi ne dhoop se kya keh diya rawani mein ujale paanv patakne lage hain paani mein Ab itni sari shabon ka hisab kaun rakhe bade sawab kamaye gaye jawani mein ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Jagne ki bhi, jagane ki bhi aadat ho jaye kash tujh ko kisi shayar se mohabbat ho jaye door hum kitne dino se hain kabhi gaur kiya fir na kehna jo amanat mein khayanat ho jaye Ukhde padte hain mere qabr ke patthar har din tum jo aa jao kisi din to marammat ho jaye jugnuon tumko naye chand ugane honge isse pehle ke andheron ki hukumat ho jaye   ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ sarhadon par bahut tanav hai kya kuch pata to karo chunav hai kya ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Kahan jayen kidhar jayen pareshan haal rehte hain jahan hum panv rakhte hain, wahan bhuchal rehte hain mere sone ki ganga mein, meri chandi ki jamuna mein sunehri machliyan thi,