Skip to main content

Zindagi ko sawaar dete hain

Aap jo mujhko pyar dete hain.
Zindagi ko sawaar dete hain.

Jab fiza me ajab udasi ho,
Aap mausam nikhaar dete ho.

Ab khwaja hai kahan kise maloom,
Aap jab se baahar gaye ho

Ghum ka mausam bhi akar laut gaya,
Yun khushi be sumar dete ho.

Dil dhadakta hai meri aankhon mein
Kyun mujhe intezar dete ho.

Kitne zalim hain log woh rukhsha,
phool maango to khar dete ho.
↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠
      Rukhsha hashmi

Comments

Popular posts from this blog

Zubair Ali Tabish

Main kya bataun woh kitna kareeb hai mere mera khayal bhi usko sunai deta hai woh jisne aankh ata'a ki hai dekhne ke liye usi ko chhod ke sab kuch dikhai deta hai isi khushi ne mera dum nikal rakha hai ke usne ab bhi mera ghum sambhal rakha hai main khaak hi to hun aakhir mera banega kya mujhe kumhaar ne chakkar mein daal rakha hai ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ rokar apni har zid manwa sakta hun main pani se patthar pighla sakta hun shukr hai koi chadar mere pass nahi jitne marzi paanv faila sakta hun mujhko itni dhoom se rukhsat mat kijiye mera kya main wapas bhi aa sakta hun ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Paheli zindagi ki, kab tu aye nadaan samjhega bahut dushwariyan hongi agar aasaan samjhega kisi bhuke se mat puchho mohabbat kisko kehte hain tum aanchal bichhao-ge woh dastarkhwan samjhega ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Is zamane ko zamane ki ada'a aati hai aur ek hum hain humein sirf wafa'a aati hai Chudiyan bech ke woh layi mere liye guitar taar chhedun to kha

Allama Muhammad Iqbal

Ilm mein bhi surur hai lekin Yeh woh zannat hai jismein hoor nahi. ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠  Apne man mein doob kar pa ja surag aye zindagi Tu agar mera nahi banta to na ban, apna to ban. ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠  Koi ebadat ki chahat me roya, Koi ebadat ki raah me roya, Koi yar ki bewafai pe roya, Koi yar ko mana ke roya, Ajeeb hai ye Namaz-e-mohabbat ka silsila iqbal, Koi kaza karke roya koi ada karke roya ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠  Dasht to dasht hai dariya bhi na chhode humne,  Bahar-e-Zulmaat mein dauda diye ghode humne! ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Hai Ram ke wajood pe hindustan ko naaz Ahl-e-Najar samajhte hain usko Imam-e-Hind है राम के वजूद पे हिन्दोस्तान को नाज़ अहल-ए-नजर समझते हैं उसको इमाम-ए-हिन्द ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Lab pe aati hai dua ban ke tamanna meri zindagi shamma ki surat ho khudaya meri Ho mere dum se yunhi mere watan ki zeenat jis tarah phool se hoti hai chaman ki zeenat zindagi ho meri parwane ki soorat ya rab ilm ki shamma se ho mujhko mohabbat ya rab ho mera kaam garibon ki himayat kar

Rahat Indori

Faisla jo kuch bhi ho, manjoor hona chahiye jung ho ya ishq ho bharpur hona chahiye ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Raat ki dhadkan jab tak jaari rehti hai sote nahi hum, zimedaari rehti hai ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Nadi ne dhoop se kya keh diya rawani mein ujale paanv patakne lage hain paani mein Ab itni sari shabon ka hisab kaun rakhe bade sawab kamaye gaye jawani mein ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Jagne ki bhi, jagane ki bhi aadat ho jaye kash tujh ko kisi shayar se mohabbat ho jaye door hum kitne dino se hain kabhi gaur kiya fir na kehna jo amanat mein khayanat ho jaye Ukhde padte hain mere qabr ke patthar har din tum jo aa jao kisi din to marammat ho jaye jugnuon tumko naye chand ugane honge isse pehle ke andheron ki hukumat ho jaye   ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ sarhadon par bahut tanav hai kya kuch pata to karo chunav hai kya ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Kahan jayen kidhar jayen pareshan haal rehte hain jahan hum panv rakhte hain, wahan bhuchal rehte hain mere sone ki ganga mein, meri chandi ki jamuna mein sunehri machliyan thi,