Khuda ke jab Mohammad Mustafa Quran le aaye,
Basar ki baat kiya samsowa qamar imaan le aaye.
Mohammad Mustafa jaisa zamane me nahi koi,
Mere shere khuda ye dekh kar imaan le aaye.
Padha jab kankaro ne momino kalma Mustafa'a ka,
Hazaron ehle makka be khata imaan le aaye.
Umar ne jis ghadi dekhi haseen surat Mustafa ki,
Nabi ki nek sirat par umer imaan le aye.
Mohammad ki bahut sohrat hui jis dam zamane me,
Na jaane kitne unpar taje jar imaan le aaye.
Mere pyare bhatije bakhuda sachche nabi tum ho,
Chacha humja yahi to dekh kar imaan le aaye.
Banaya rabbe akbar ne jinhe meraj ka dulha,
Kamal hum bhi unhi ki shaan par imaan le aaye.
↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠
Kamal Fark Abadi
Comments
Post a Comment