Skip to main content

Posts

Ataul

देखो यह कैसा सरकार हुआ कहने को यह एक चौकीदार हुआ  Mob lynching के हौसला अफजाई से देश की बेटियों से दुष्कर्म पे ना की कार्यवाही से अर्थव्यवस्था के गिरते आंकड़े हर तिमाही से देश में शमशान और कब्रिस्तान हुआ शहीदों के नाम का वोट मांगने में गुणगान हुआ। देखो यह कैसा सरकार हुआ कहने को यह चौकीदार हुआ ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ देखो यह कैसा व्यापार हुआ कहने को एक पत्रकार हुआ विपक्ष में बैठे नेता कि रोज़ खिंचाई से खुदको भाजपा के प्रवक्ता लिपाई से मुंह को सिल रखी पैसों की उपरी कमाई से देश में राम मंदिर और पाकिस्तान हुआ  पत्रकारिता जगत में ये कैसा आविष्कार हुआ देखो यह कैसा व्यापार हुआ कहने को एक पत्रकार हुआ। ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠

Moosa Malihabadi

Mera baatin hai jo khul kar dikhai deta hai wohi andar hai jo bahar dikhai deta hai main to har shakhs mein khubi talash leta hun mujhko har seep mein gauhar dikhai deta hai ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Adab ne, qalb mein dera hai daala yahan insaniyat hai zarf-e-aala  humein sikhlaoge tarz-e-takallum ke humne to hai tehjeebon ko pala ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Raah ke khaar ko pairon se masal dete hain kar ke mismaar har ek sang ko chal dete hain Ek tum ho ke jise waqt badal deta hai aur ek hum hain jo waqt badal dete hain ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Buzurgon ki riwayat hai jumme-yari nahi jati aur us dastaar ki sare wada-dari nahi jati Ghazal ke sher kehta hun, shugufta lafz likhta hun magar lehze se kyun mere yeh chingari nahi jati wabayein kitni bakshi hain mujhe is marj ne moosa magar sach bolne ki fir bhi bimari nahi jati ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Raazi raha na dil kabhi meri raza ke saath jeena magar hai mujhko isi bewafa ke saath khushbakht hun ke baap hun do betiyon ka main

Zubair Ali Tabish

Main kya bataun woh kitna kareeb hai mere mera khayal bhi usko sunai deta hai woh jisne aankh ata'a ki hai dekhne ke liye usi ko chhod ke sab kuch dikhai deta hai isi khushi ne mera dum nikal rakha hai ke usne ab bhi mera ghum sambhal rakha hai main khaak hi to hun aakhir mera banega kya mujhe kumhaar ne chakkar mein daal rakha hai ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ rokar apni har zid manwa sakta hun main pani se patthar pighla sakta hun shukr hai koi chadar mere pass nahi jitne marzi paanv faila sakta hun mujhko itni dhoom se rukhsat mat kijiye mera kya main wapas bhi aa sakta hun ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Paheli zindagi ki, kab tu aye nadaan samjhega bahut dushwariyan hongi agar aasaan samjhega kisi bhuke se mat puchho mohabbat kisko kehte hain tum aanchal bichhao-ge woh dastarkhwan samjhega ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Is zamane ko zamane ki ada'a aati hai aur ek hum hain humein sirf wafa'a aati hai Chudiyan bech ke woh layi mere liye guitar taar chhedun to kha

Wasiuddin Siddiqui

Aatankwadi bhi sansad ki shobha badhate hain dekho besharm log baithkar mej thapthapate hain Bapu ki shraddhanjali dena bas dikhawa hai wasi Jhooth bolte hain ki hum muaaf nahi kar pate hain आतंकवादी भी संसद की शोभा बढ़ाते है , देखों बेशर्म लोग बैठकर मेज थपथपाते है , बापू को श्रद्धांजलि देना बस दिखावा है "वसी", झूठ बोलते है कि हम माफ नही कर पाते है । ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ udas hota hun to mere chehre ko padh leti hai, nakam hota hun, to tasalliyan mujhko deti hai, rab ka shukr jitna bhi kare bada kam hai "wasi", maa jab bhi baat karti hai, duayen bahut deti hai. उदास होता हूँ तो मेरे चेहरे को पढ़ लेती है , नाकाम होता हूँ तो तसल्लियाँ मुझको देती है , रब का शुक्र जितना भी करे बड़ा कम है "वसी", माँ जब भी बात करती है दुआयें बहुत देती है । ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Wasiuddin Siddiqui  is chief editor of Urdu Daily Salar-e-Hind, New Delhi

Kavi Dushyant Kumar

Ho gayi hai peer parvat si pighalni chahiye Is Himalay se koi Ganga nikalni chahiye Aaj yeh deewar pardon ki tarah hilne lagi shart hai yeh lekin ki yeh buniyad hilni chahiye Har Sadak par, har gali mein, har nagar har gaon mein haath lehrate hue, har laash chalni chahiye Sirf hungama khada karna mera maqsad nahi meri koshish hai ki ye surat badalni chahiye mere seene mein nahi to tere seene mein sahi ho kahin bhi aag lekin aag jalni chahiye ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ हो गयी है पीर पर्वत सी पिघलनी चाहिए इस हिमालय से कोई गंगा निकालनी चाहिए आज ये दीवार पर्दों की तरह हिलने लगी शर्त है यह लेकिन की, यह बुनियाद हिलनी चाहिए हर सड़क पर, हर गली में, हर नगर, हर गाओं में हाँथ लहराते हुए, हर लाश चलनी चाहिए सिर्फ हंगामा खड़ा करना मेरा मक़सद नहीं मेरी कोशिश है की ये सूरत बदलनी चाहिए मेरे सीने में नहीं तो तेरे सीने में सही हो कहीं भी आग, लेकिन आग जलनि चाहिए ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Yahan to sirf gunge aur behre log baste hain khuda jane wahan kis tarah jalsa

Rahat Indori

Faisla jo kuch bhi ho, manjoor hona chahiye jung ho ya ishq ho bharpur hona chahiye ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Raat ki dhadkan jab tak jaari rehti hai sote nahi hum, zimedaari rehti hai ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Nadi ne dhoop se kya keh diya rawani mein ujale paanv patakne lage hain paani mein Ab itni sari shabon ka hisab kaun rakhe bade sawab kamaye gaye jawani mein ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Jagne ki bhi, jagane ki bhi aadat ho jaye kash tujh ko kisi shayar se mohabbat ho jaye door hum kitne dino se hain kabhi gaur kiya fir na kehna jo amanat mein khayanat ho jaye Ukhde padte hain mere qabr ke patthar har din tum jo aa jao kisi din to marammat ho jaye jugnuon tumko naye chand ugane honge isse pehle ke andheron ki hukumat ho jaye   ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ sarhadon par bahut tanav hai kya kuch pata to karo chunav hai kya ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Kahan jayen kidhar jayen pareshan haal rehte hain jahan hum panv rakhte hain, wahan bhuchal rehte hain mere sone ki ganga mein, meri chandi ki jamuna mein sunehri machliyan thi,

Poet not known - Unknown

na ḳhudā hī milā na visāl-e-sanam na idhar ke hue na udhar ke hue rahe dil meñ hamāre ye rañj-o-alam na idhar ke hue na udhar ke hue ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠   न ख़ुदा ही मिला न विसाल-ए-सनम न इधर के हुए न उधर के हुए रहे दिल में हमारे ये रंज-ओ-अलम न इधर के हुए न उधर के हुए ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠   पत्ता है आँधियों के मुक़ाबिल खड़ा है तू, गिरते हुए दरख़्त से कितना बड़ा है तू ! मत सोच ये कि तेरी किसी ने नहीं सुनी, ये देख अपनी बात पे कितना अड़ा है तू !