Mera baatin hai jo khul kar dikhai deta hai
wohi andar hai jo bahar dikhai deta hai
main to har shakhs mein khubi talash leta hun
mujhko har seep mein gauhar dikhai deta hai
↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠
↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠
Adab ne, qalb mein dera hai daala
yahan insaniyat hai zarf-e-aala
humein sikhlaoge tarz-e-takallum
ke humne to hai tehjeebon ko pala
↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠
↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠
Raah ke khaar ko pairon se masal dete hain
kar ke mismaar har ek sang ko chal dete hain
Ek tum ho ke jise waqt badal deta hai
aur ek hum hain jo waqt badal dete hain
↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠
↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠
Buzurgon ki riwayat hai jumme-yari nahi jati
aur us dastaar ki sare wada-dari nahi jati
Ghazal ke sher kehta hun, shugufta lafz likhta hun
magar lehze se kyun mere yeh chingari nahi jati
wabayein kitni bakshi hain mujhe is marj ne moosa
magar sach bolne ki fir bhi bimari nahi jati
↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠
↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠
Raazi raha na dil kabhi meri raza ke saath
jeena magar hai mujhko isi bewafa ke saath
khushbakht hun ke baap hun do betiyon ka main
tumko milunga hasr mein yun mustafa ke saath
Yeh haadse, yeh ranj-o-alam haye, bebasi
jayenge ye marhale meri qaza ke saath
↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠
↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠