Skip to main content

Zubair Ali Tabish

Main kya bataun woh kitna kareeb hai mere
mera khayal bhi usko sunai deta hai

woh jisne aankh ata'a ki hai dekhne ke liye
usi ko chhod ke sab kuch dikhai deta hai

isi khushi ne mera dum nikal rakha hai
ke usne ab bhi mera ghum sambhal rakha hai

main khaak hi to hun aakhir mera banega kya
mujhe kumhaar ne chakkar mein daal rakha hai

↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠

rokar apni har zid manwa sakta hun
main pani se patthar pighla sakta hun

shukr hai koi chadar mere pass nahi
jitne marzi paanv faila sakta hun

mujhko itni dhoom se rukhsat mat kijiye
mera kya main wapas bhi aa sakta hun

↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠

Paheli zindagi ki, kab tu aye nadaan samjhega
bahut dushwariyan hongi agar aasaan samjhega

kisi bhuke se mat puchho mohabbat kisko kehte hain
tum aanchal bichhao-ge woh dastarkhwan samjhega

↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠

Is zamane ko zamane ki ada'a aati hai
aur ek hum hain humein sirf wafa'a aati hai

Chudiyan bech ke woh layi mere liye guitar
taar chhedun to khanakne ki sada'a aati hai

↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠

kore kagaz pe ro rahe ho tum
main to samjha padhe likhe ho tum

kya kaha mujhse door jana hai
iska matlab hai, ja chuke ho tum

↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠

Sar basar jakhm ki misaal hun main
fir bhi hans leta hun, kamaal hun main

der kardi jawab mein tumne
ab kisi aur ka sawal hun main

↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠

Khali baithe ho to ek kaam mera kardo na
mujh ko acha sa koi zakhm ata'a kar do na

dhyan se panchiyon ko dete ho dana pani
itne acche ho to pinjre se riha kar do na

jab kareeb aa hi gaye ho to udasi kaisi
jab diya de hi rahe ho to jala kar do na

↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠

Sitam dhaate huye socha karoge
humare sath tum aisa karoge

Anguthi to mujhe lauta rahe ho
anguthi ke nishan ka kya karoge

Main tumse ab jhagadta bhi nahi hun
to kya ab is baat pe  jhagda karoge

Woh dulhan banke rukhsat ho gayi hai
kahan tak car ka peecha karoge

↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠

Comments

  1. Britannica Explains In these videos, Britannica explains a variety of|quite lots of|a big selection of} matters and solutions incessantly requested questions. 141 Cal. second 304, 295 P.second 576 (3d Dist. 1956) (wife entitled to get well husband's gambling losses 파라오바카라 on the bottom that he had made a gift of neighborhood property without her written consent); see also 38 Am. Gamblers also exhibit optimism, overestimating the chance that desired occasions will occur.

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

Allama Muhammad Iqbal

Ilm mein bhi surur hai lekin Yeh woh zannat hai jismein hoor nahi. ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠  Apne man mein doob kar pa ja surag aye zindagi Tu agar mera nahi banta to na ban, apna to ban. ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠  Koi ebadat ki chahat me roya, Koi ebadat ki raah me roya, Koi yar ki bewafai pe roya, Koi yar ko mana ke roya, Ajeeb hai ye Namaz-e-mohabbat ka silsila iqbal, Koi kaza karke roya koi ada karke roya ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠  Dasht to dasht hai dariya bhi na chhode humne,  Bahar-e-Zulmaat mein dauda diye ghode humne! ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Hai Ram ke wajood pe hindustan ko naaz Ahl-e-Najar samajhte hain usko Imam-e-Hind है राम के वजूद पे हिन्दोस्तान को नाज़ अहल-ए-नजर समझते हैं उसको इमाम-ए-हिन्द ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Lab pe aati hai dua ban ke tamanna meri zindagi shamma ki surat ho khudaya meri Ho mere dum se yunhi mere watan ki zeenat jis tarah phool se hoti hai chaman ki zeenat zindagi ho meri parwane ki soorat ya rab ilm ki shamma se ho mujhko mohabbat ya rab ho mera kaam gar...

Munawwar Rana

Hamare kuch gunahon ki saza bhi saath chalti hai Ab hum tanha nahi, dawa bhi saath chalti hai Abhi zinda hai maa meri, mujhe kuchh nahi hoga, Main Ghar se jab nikalta hun, dua bhi saath chalti hai ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Labon par uske kabhi baddua nahi hoti Bas ek maa hai jo kabhi khafa nahi hoti Iss tarah gunahon ko wo meri dho deti hai Maa bahut gusse mein hoti hai to ro deti hai ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Aye andhere, dekh le muh tera kala ho gaya, maa ne aankhe khol di ghar mein ujala ho gaya ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Teri yaadon ne bakhshi hai humein yeh zindagi warna Bahut pehle hi hum kissa kahani ho gaye hote ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Maine kal shab, chahaton ki sab kitabein faad di Sirf ek kaagaz pe likha lafz, maa rehne diya ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Chalti firti hui aankhon se azaan dekhi hai Maine jannat to nahi dekhi hai, maa dekhi hai ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Daulat se mohabbat to nahi thi mujhe lekin Bacchon ne khilaunon ki taraf dekh liya hai ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Hans ke milti hai magar kaafi thaki lagti h...