Skip to main content

Rahat Indori

Faisla jo kuch bhi ho, manjoor hona chahiye
jung ho ya ishq ho bharpur hona chahiye

↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠

Raat ki dhadkan jab tak jaari rehti hai
sote nahi hum, zimedaari rehti hai

↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠

Nadi ne dhoop se kya keh diya rawani mein
ujale paanv patakne lage hain paani mein

Ab itni sari shabon ka hisab kaun rakhe
bade sawab kamaye gaye jawani mein

↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠

Jagne ki bhi, jagane ki bhi aadat ho jaye
kash tujh ko kisi shayar se mohabbat ho jaye

door hum kitne dino se hain kabhi gaur kiya
fir na kehna jo amanat mein khayanat ho jaye

Ukhde padte hain mere qabr ke patthar har din
tum jo aa jao kisi din to marammat ho jaye

jugnuon tumko naye chand ugane honge
isse pehle ke andheron ki hukumat ho jaye
 ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠

sarhadon par bahut tanav hai kya
kuch pata to karo chunav hai kya

↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠

Kahan jayen kidhar jayen pareshan haal rehte hain
jahan hum panv rakhte hain, wahan bhuchal rehte hain

mere sone ki ganga mein, meri chandi ki jamuna mein
sunehri machliyan thi, aajkal ghadiyal rehte hain

↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠

Kabhi mehak ki tarah gulon se udte hain
kabhi dhuyein ki tarah parvaton se udte hain

yeh kainchiyan hame udne se khak ronkengi
ki hum paron se nahi hauslon se udte hain

↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠

chalte firte huye mehtab dikhayenge tumhe
humse milna kabhi punjab dikhayenge tumhe

ret ban jata hai, udd jata hai sara pani
june mein gaon ka talab dikhayenge tumhe

chand har chhath pe hai, suraj hai har ek aangan mein
neend se jago to kuchh khwaab dikhayenge tumhe

puchhte kya ho ke rumal ke pichhe kya hai
fir kisi roz yeh sailab dikhayenge tumhe

↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠

Teri har baat mohabbat mein gawara karke
dil ke bazaar mein baithe hain khansara karke

main woh dariya hun, har boond bhanwar hai jiski
tumne acha hi kya mujhse kinara karke

aate jate hain mere chehre par
log lete hain maza zikr tumhara karke

muntazir hun ki sitaron ki zara aankh lage
chand ko chhat pe bula lunga ishara karke

↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠

Kabhi akele mein milkar jhanjhor dunga use
jahan jahan se woh toota hai, jod dunga use

mujhe woh chhod gaya yeh kamaal hai uska
irada maine kiya tha ki chhod dunga use

paseene bant ta firta hai har taraf suraj
kabhi jo haath laga to nichod dunga use

bacha ke rakhta hai khud ko woh mujhse, sheesha badan
use yeh dar hai ke main tod fod dunga use

maza chakha ke hi mana hun main bhi duniya ko
samajh rahi thi ki aise hi chhod dunga use

↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠

Zihalaton ke andhere mitake laut aaya
main aaj sari kitaben jala ke laut aaya

woh abhi rail mein baithe sisak rahi hogi
main apna hath hawa mein laut aaya

khabar mili hai ki sona nikal raha hai wahan
main jis zameen par thokar laga ke laut aaya

woh chahta tha ke kasha kharid le mera
main uske taj ki qeemat laga ke laut aaya

↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠

Uski katthai aankhon mein hai jantar mantar sab
chaku vaku chhuriyan vuriyan khanjar vanjar sab

jis din se tum ruthi mujhse ruthe ruthe hain
chadar vadar takiya vakiya bistar vistar sab

Mujhse bichhad kar woh bhi kahan pehle jaisi hai
fike pad gaye kapde wapde jewar vewar sab

↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠

Raaz jo kuchh ho isharon mein bata bhi dena
hath jab usse milana to daba bhi dena

↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠

Bacha ke rakhi thi kuchh roshni zamane se
hawa charag uda le gayi sarahne se

nasihatein na karo ishq karne walon ko
yeh aag aur bhadak jayegi bujhane se

behakte rehne ki aadat hai mere qadmon ko
sharab khane se niklun ki chai khane se

↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠

Yeh zindagi sawal thi, jawab mangne lage
farishtey aake khwab mein hisab mangne lage

main jugnuon ko muh laga ke uljhanon mein pad gaya
yeh bewakoof mujhse aaftaab mangne lage

Idhar kiya karam kisi pe aur idhar jata diya
namaz padh ke aaye, aur sharab mangne lage

sukhanwaron ne khud bana diya sukhan ko ek mazak
zara si daad kya mili, khitab mangne lage

↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠

Sabki neendon mein chale, khwabon mein shamil ho jayein
log soye hain chalo shahar mein dakhil ho jayein

Qeematein kya hai humari use maloom nahi
uski khwahish hai ki, hum muft mein hasil ho jayein

Aye meri maut, mujhe kuchh dino ki mohlat dede
meri koshish hai, ki bacche kisi quabil ho jayein

yeh barf ratein bhi bankar abhi dhuwan ban jaye
woh ek lihaaf main odhun, to sardiyan udd jayein

Hawayein baaj kahan aati hain shararat se
saron pe hath na rakhein to pagdiyan udd jaye

Bahut guroor hai dariya ko apne hone par,
jo meri pyas se uljhe to dhajjiyan udd jaye

↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠

Zindagi ki har kahani be asar ho jayegi
hum na honge to yeh dunya darbadar ho jayegi

Panv patthar karke chhodegi agar ruk jaiye
chalte rahiye to zameen bhi humsafar ho jayegi

Talkhiyan bhi lazmi hai zindagi ke vaste
itna meetha banke mat rehye shakar ho jayegi

↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠

Ishq mein jeet ke aane ke liye kaafi hun
main nihattha hi zamane ke liye kaafi hun

sirf ek bar meri neend ka yeh jaal kate
jaag jaun to jagane ke liye kafi hun

har haqeekat ko meri khwab samajhne wale
main teri neend udane ke liye kafi hun

Ek akhbar hun, aukat hi kya meri
lekin shahar mein aag lagane ke liye kafi hun

Mere bacchon mujhe dil khol ke tum kharch karo
main akela hi kamane ke liye kafi hun

↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠

Andhere charo taraf sayein sayein karne lage
charag hath uthakar duwayein karne lage

saleeka jinko sikhaya tha humne chalne ka
woh log humein daayein bayein karne lage

Tarakki kar gaye beemariyon ke saudagar
yeh sab mareej hain jo ab dawayein karne lage

Ajeeb rang tha majlis ka khoob mehfil thi
safed posh uthe kayein kayein karne lage

↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠

Mere hujre mein nahi aur kahin par rakhdo
Aasman laye ho, le aao, zameen par rakhdo

Ab kahan dhundhne jaoge humare quatil
aap to qatl ka iljaam hum hin pe rakh do

↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠






Popular posts from this blog

Zubair Ali Tabish

Main kya bataun woh kitna kareeb hai mere mera khayal bhi usko sunai deta hai woh jisne aankh ata'a ki hai dekhne ke liye usi ko chhod ke sab kuch dikhai deta hai isi khushi ne mera dum nikal rakha hai ke usne ab bhi mera ghum sambhal rakha hai main khaak hi to hun aakhir mera banega kya mujhe kumhaar ne chakkar mein daal rakha hai ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ rokar apni har zid manwa sakta hun main pani se patthar pighla sakta hun shukr hai koi chadar mere pass nahi jitne marzi paanv faila sakta hun mujhko itni dhoom se rukhsat mat kijiye mera kya main wapas bhi aa sakta hun ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Paheli zindagi ki, kab tu aye nadaan samjhega bahut dushwariyan hongi agar aasaan samjhega kisi bhuke se mat puchho mohabbat kisko kehte hain tum aanchal bichhao-ge woh dastarkhwan samjhega ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Is zamane ko zamane ki ada'a aati hai aur ek hum hain humein sirf wafa'a aati hai Chudiyan bech ke woh layi mere liye guitar taar chhedun to kha...

Allama Muhammad Iqbal

Ilm mein bhi surur hai lekin Yeh woh zannat hai jismein hoor nahi. ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠  Apne man mein doob kar pa ja surag aye zindagi Tu agar mera nahi banta to na ban, apna to ban. ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠  Koi ebadat ki chahat me roya, Koi ebadat ki raah me roya, Koi yar ki bewafai pe roya, Koi yar ko mana ke roya, Ajeeb hai ye Namaz-e-mohabbat ka silsila iqbal, Koi kaza karke roya koi ada karke roya ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠  Dasht to dasht hai dariya bhi na chhode humne,  Bahar-e-Zulmaat mein dauda diye ghode humne! ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Hai Ram ke wajood pe hindustan ko naaz Ahl-e-Najar samajhte hain usko Imam-e-Hind है राम के वजूद पे हिन्दोस्तान को नाज़ अहल-ए-नजर समझते हैं उसको इमाम-ए-हिन्द ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Lab pe aati hai dua ban ke tamanna meri zindagi shamma ki surat ho khudaya meri Ho mere dum se yunhi mere watan ki zeenat jis tarah phool se hoti hai chaman ki zeenat zindagi ho meri parwane ki soorat ya rab ilm ki shamma se ho mujhko mohabbat ya rab ho mera kaam gar...

Munawwar Rana

Hamare kuch gunahon ki saza bhi saath chalti hai Ab hum tanha nahi, dawa bhi saath chalti hai Abhi zinda hai maa meri, mujhe kuchh nahi hoga, Main Ghar se jab nikalta hun, dua bhi saath chalti hai ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Labon par uske kabhi baddua nahi hoti Bas ek maa hai jo kabhi khafa nahi hoti Iss tarah gunahon ko wo meri dho deti hai Maa bahut gusse mein hoti hai to ro deti hai ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Aye andhere, dekh le muh tera kala ho gaya, maa ne aankhe khol di ghar mein ujala ho gaya ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Teri yaadon ne bakhshi hai humein yeh zindagi warna Bahut pehle hi hum kissa kahani ho gaye hote ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Maine kal shab, chahaton ki sab kitabein faad di Sirf ek kaagaz pe likha lafz, maa rehne diya ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Chalti firti hui aankhon se azaan dekhi hai Maine jannat to nahi dekhi hai, maa dekhi hai ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Daulat se mohabbat to nahi thi mujhe lekin Bacchon ne khilaunon ki taraf dekh liya hai ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Hans ke milti hai magar kaafi thaki lagti h...