Skip to main content

Salil Chowdhury

Tasveer teri dil mein jis din se utari hai
firu tujhe sang leke, naye naye rang leke
sapno ki mehfil mein
tasveer teri dil mein
↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠
Kabhi dekho man nahi jaage
piche piche sapno ke bhage
ek din sapno ka raahi
chala jaye sapno se aage

Zindagi kaisi hai paheli, haye
kabhi to hasaye, kabhi yeh rulaye
↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠
Kahin door jab din dhal jaye saanjh ki dulhan badan churaye chupke se aaye mere khayalon ke aangan mein koi sapno ke deep jalaye
↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠
Aye mere pyare watan aye mere bichhade chaman tujhpe dil qurban tu hi meri aarjoo, tu hi meri aabru, tu hi meri jaan
↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠
Dil tadap tadap ke keh raha hai aa bhi ja
tum humse aankh na chura tujhe kasam hai aa bhi ja
↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠
Dharti kahe pukar ke beej bichale pyar ke, 
mausam beeta jaye, mausam beeta jaye
apni kahani chhod ja, khud ki nishani chhod ja, 
kaun kahe is or tu phir aaye na aaye.
↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠




Bio:

Salil Chowdhury (19 November 1925 - 5 September 1995) was an Indian songwriter, music director, lyricist, writer and poet, who predominantly composed for Bengali, Hindi, Malayalam films. He went on to compose music for films in 13 languages. Salil married to Sabita Chowdhury who was also a beautiful singer.
Salil once said: "I want to create a style which shall transcend borders - a genre which is emphatic and polished, but never predictable", which he truly transcends through his work.

Comments

  1. 2021 ford escape titanium hybrid with the launch of the
    The 2019 Nissan Deal or 2020 edge titanium No Deal will see titanium white wheels the titanium rod in femur complications introduction of a full-fledged “Nissan” hybrid system titanium gr 2 that nano titanium enables fans of the automaker.

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

Allama Muhammad Iqbal

Ilm mein bhi surur hai lekin Yeh woh zannat hai jismein hoor nahi. ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠  Apne man mein doob kar pa ja surag aye zindagi Tu agar mera nahi banta to na ban, apna to ban. ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠  Koi ebadat ki chahat me roya, Koi ebadat ki raah me roya, Koi yar ki bewafai pe roya, Koi yar ko mana ke roya, Ajeeb hai ye Namaz-e-mohabbat ka silsila iqbal, Koi kaza karke roya koi ada karke roya ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠  Dasht to dasht hai dariya bhi na chhode humne,  Bahar-e-Zulmaat mein dauda diye ghode humne! ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Hai Ram ke wajood pe hindustan ko naaz Ahl-e-Najar samajhte hain usko Imam-e-Hind है राम के वजूद पे हिन्दोस्तान को नाज़ अहल-ए-नजर समझते हैं उसको इमाम-ए-हिन्द ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Lab pe aati hai dua ban ke tamanna meri zindagi shamma ki surat ho khudaya meri Ho mere dum se yunhi mere watan ki zeenat jis tarah phool se hoti hai chaman ki zeenat zindagi ho meri parwane ki soorat ya rab ilm ki shamma se ho mujhko mohabbat ya rab ho mera kaam garibon ki himayat kar

Zubair Ali Tabish

Main kya bataun woh kitna kareeb hai mere mera khayal bhi usko sunai deta hai woh jisne aankh ata'a ki hai dekhne ke liye usi ko chhod ke sab kuch dikhai deta hai isi khushi ne mera dum nikal rakha hai ke usne ab bhi mera ghum sambhal rakha hai main khaak hi to hun aakhir mera banega kya mujhe kumhaar ne chakkar mein daal rakha hai ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ rokar apni har zid manwa sakta hun main pani se patthar pighla sakta hun shukr hai koi chadar mere pass nahi jitne marzi paanv faila sakta hun mujhko itni dhoom se rukhsat mat kijiye mera kya main wapas bhi aa sakta hun ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Paheli zindagi ki, kab tu aye nadaan samjhega bahut dushwariyan hongi agar aasaan samjhega kisi bhuke se mat puchho mohabbat kisko kehte hain tum aanchal bichhao-ge woh dastarkhwan samjhega ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Is zamane ko zamane ki ada'a aati hai aur ek hum hain humein sirf wafa'a aati hai Chudiyan bech ke woh layi mere liye guitar taar chhedun to kha

Munawwar Rana

Hamare kuch gunahon ki saza bhi saath chalti hai Ab hum tanha nahi, dawa bhi saath chalti hai Abhi zinda hai maa meri, mujhe kuchh nahi hoga, Main Ghar se jab nikalta hun, dua bhi saath chalti hai ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Labon par uske kabhi baddua nahi hoti Bas ek maa hai jo kabhi khafa nahi hoti Iss tarah gunahon ko wo meri dho deti hai Maa bahut gusse mein hoti hai to ro deti hai ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Aye andhere, dekh le muh tera kala ho gaya, maa ne aankhe khol di ghar mein ujala ho gaya ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Teri yaadon ne bakhshi hai humein yeh zindagi warna Bahut pehle hi hum kissa kahani ho gaye hote ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Maine kal shab, chahaton ki sab kitabein faad di Sirf ek kaagaz pe likha lafz, maa rehne diya ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Chalti firti hui aankhon se azaan dekhi hai Maine jannat to nahi dekhi hai, maa dekhi hai ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Daulat se mohabbat to nahi thi mujhe lekin Bacchon ne khilaunon ki taraf dekh liya hai ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Hans ke milti hai magar kaafi thaki lagti h