Skip to main content

Habib Jalib

Dastoor by Habib Jalib

Deep jis ka mohallaat hi mein jaley,
Chand logon ki khushiyon ko le kar chaley,
Wo jo saaye mein har maslehat ke paley,

Aisey dastoor ko, Subhe-be-noor ko,
Main nahein maanta, Main nahein jaanta.

Main bhi khaaif nahin takhta-e-daar se,
Main bhi Mansoor hoon, keh do aghyaar se,
Kyun daraatey ho zindon ki deevar se,

Zulm ki baat ko, Jehl ki raat ko,
Main nahin maanta, Main nahin jaanta.

"Phool shaakhon pe khilne lagey" tum kaho,
"Jaam rindon ko milne lagey" tum kaho,
"Chaak seenon kay silne lagey" tum kaho,
Iss khule jhooth ko, Zehn ki loot ko,
Main nahein maanta, Main nahein jaanta.

Tumne loota hai sadyon hamaara sukoon,
Ab na hum par chalega tumhara fasoon,
Charaagar dardmandon ke bantey ho kyun?
Tum nahein charaagar, Koi maane magar,
Main nahin maanta, Main nahin jaanta.

↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠
दस्तूर - हबीब जालिब

दीप जिसका महल्लात ही में जले चंद लोगों की ख़ुशियों को लेकर चले वो जो साए में हर मसलहत के पले ऐसे दस्तूर को सुब्हे बेनूर को मैं नहीं मानता, मैं नहीं जानता मैं भी ख़ायफ़ नहीं तख्त-ए-दार से मैं भी मंसूर हूँ कह दो अग़ियार से क्यूँ डराते हो जिन्दों की दीवार से ज़ुल्म की बात को, जेहल की रात को मैं नहीं मानता, मैं नहीं जानता "फूल शाख़ों पे खिलने लगे", तुम कहो "जाम रिंदों को मिलने लगे", तुम कहो "चाक सीनों के सिलने लगे", तुम कहो इस खुले झूठ को जेहन की लूट को मैं नहीं मानता, मैं नहीं जानता तूमने लूटा है सदियों हमारा सुकूँ अब न हम पर चलेगा तुम्हारा फुसूँ चारागर दर्दमंदों के बनते हो क्यों? तुम नहीं चारागर, कोई माने मगर मैं नहीं मानता, मैं नहीं मानता

↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠
↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠

Baghi Main Baghi hoon, main baghi hoon Jo chahe mujhpe zulm karo Is daur ke rasm riwaajon se in takhton se inn tajoon se, jo zulm ki kokh se jante hain, insani khoon se palte hain, jo nafrat ki bunyadein hain aur khooni khet ki khadein hain, main baghi hoon main baghi hoon jo chahe mujh pe zulm karo wo jin ke hont ki jumbish se, wo jin ki aankh ki larzish se, kanoon badalte rehte hain, aur mujrim palte rehte hain, in choron k sardaaron se insaaf ke pahredaron se main baghi hoon main baghi hoon jo chahe mujh pe zulm karo Jo aurat ko nachwate hain bazaar ki jils banwate hain fir uski ismat ke ghum mein tehriken bhi chalwate hain jaalim ke badkaaron se bazaar ke un maimaaro se main baghi hoon, main baghi hoon jo chahe mujhpe zulm karo Jo Qaum ke ghum mein rote hain aur qaum ki daulat dhote hain wo mahlon mein jo rehte hain aur baat gareeb ki kehte hain un dhokebaaz luteron se sartaaron aur vaderon se main baghi hoon, main baghi hoon jo chahe mujhpe zulm karo mazhab ke jo byopari hain, wo sab se badi bimari hain, wo jin ke siwa sab kafir hain, jo deen ka harf-e-akhir hain, in jhute aur makkaron se mazhab k thekedaron se main baghi hoon main baghi hoon jo chahe mujh pe zulm karo Jahan saanson pe tazeeren hain Jahan bigdi huyi taqdeere hain Jaaton ke gorakh dhandhe hain jahan nafrat ke ye fande hain socho ki aisi basti se zulm ki gandi vasti se main baghi hoon, main baghi hoon jo chahe mujhpe zulm karo mere hath main haq ka jhanda hai, mere sar pe zulm ka phanda hai, main marne se kab darta hoon, main maut ki khatir zinda hoon, mere khoon ka suraj chamke ga to bacha bacha bole ga main baghi hoon, main baghi hoon jo chahe mujhpe zulm karo

↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠
↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠

zulmat ko ziya sarsar ko saba bande ko khuda kya likhna

patthar ko guhar deewar ko dar kargas ko huma kya likhna ik hashr bapa hai ghar mein dam ghut-ta hai gumbad-e-be-dar mein ik shaḳhs ke haathon muddat se rusva hai watan duniya-bhar mein ai deeda-varo is zillat ko qismat ka likha kya likhna zulmat ko ziya sarsar ko saba bande ko khuda kya likhna ye ahl-e-hashm ye dara-o-jam sab naqsh bar-ab hain aye hamdam mit jayenge sab parvarda-e-shab aye ahl-e-vafa rah jayenge ham ho jaan ka ziya par qatil ko maasoom-ada kya likhna zulmat ko ziya sarsar ko saba bande ko ḳhuda kya likhna logon pe hi humne jaan vaari ki ham ne hi unhi ki ġhum-ḳhvari hote hain to ho ye haath qalam shayir na banenge darbaari iblis-numa insanon ki aye dost sana kya likhna zulmat ko ziya sarsar ko saba bande ko ḳhuda kya likhna haq baat pe kode aur zindan batil ke shikanje mein hai ye jaan insan hain ki sahme baithe hain khunkhar darinde hain raqsan is zulm-o-sitam ko lutf-o-karam is dukh ko dava kya likhna zulmat ko ziya sarsar ko saba bande ko khuda kya likhna har shaam yahan sham-e-viran aseb-zada raste galiyan jis shahr ki dhun mein nikle the vo shahr dil-e-barbad kahan sahra ko chaman ban kar gulshan badal ko rida kya likhna zulmat ko ziya sarsar ko saba bande ko khuda kya likhna aye mere vatan ke fankaro zulmat pe na apna fan vaaro ye mahl-saraon ke baasi qatil hain sabhi apne yaaro virse men hamen ye gham hai mila is gham ko naya kya likhna zulmat ko ziya sarsar ko saba bande ko khuda kya likhna

पत्थर को गुहर दीवार को दर कर्गस को हुमा क्या लिखना इक हश्र बपा है घर में दम घुटता है गुम्बद-ए-बे-दर में इक शक़्स के हाथों मुद्दत से रुसवा है वतन दुन्या भर में ऐ दीदा-वरो इस ज़िल्लत को क़िस्मत का लिखा क्या लिखना ज़ुल्मत को जिया सरसर को सबा बन्दे को खुदा क्या लिखना

ये अहल-ए-हाशम ये दरा-ओ-जम सब नक्श बर-अब हैं ऐ हमदम मिट जायेंगे सब परवरदा-ए-शब् ऐ अहले-वफ़ा रह जायेंगे हम हो जान का जिया पर कातिल को मासूम-अदा क्या लिखना ज़ुल्मत को जिया सरसर को सबा बन्दे को खुदा क्या लिखना

लोगों पे ही हमने जान वारि की हमने ही की ग़म-ख्वारी 
होते हैं तो हो ये हाथ क़लम शायर न बनेंगे दरबारी 
इब्लीस नुमा इंसानो की अये दोस्त सना क्या लिखना 
ज़ुल्मत को जिया सरसर को सबा बन्दे को खुदा क्या लिखना
↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠
↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠

Comments

Popular posts from this blog

Zubair Ali Tabish

Main kya bataun woh kitna kareeb hai mere mera khayal bhi usko sunai deta hai woh jisne aankh ata'a ki hai dekhne ke liye usi ko chhod ke sab kuch dikhai deta hai isi khushi ne mera dum nikal rakha hai ke usne ab bhi mera ghum sambhal rakha hai main khaak hi to hun aakhir mera banega kya mujhe kumhaar ne chakkar mein daal rakha hai ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ rokar apni har zid manwa sakta hun main pani se patthar pighla sakta hun shukr hai koi chadar mere pass nahi jitne marzi paanv faila sakta hun mujhko itni dhoom se rukhsat mat kijiye mera kya main wapas bhi aa sakta hun ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Paheli zindagi ki, kab tu aye nadaan samjhega bahut dushwariyan hongi agar aasaan samjhega kisi bhuke se mat puchho mohabbat kisko kehte hain tum aanchal bichhao-ge woh dastarkhwan samjhega ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Is zamane ko zamane ki ada'a aati hai aur ek hum hain humein sirf wafa'a aati hai Chudiyan bech ke woh layi mere liye guitar taar chhedun to kha...

Allama Muhammad Iqbal

Ilm mein bhi surur hai lekin Yeh woh zannat hai jismein hoor nahi. ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠  Apne man mein doob kar pa ja surag aye zindagi Tu agar mera nahi banta to na ban, apna to ban. ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠  Koi ebadat ki chahat me roya, Koi ebadat ki raah me roya, Koi yar ki bewafai pe roya, Koi yar ko mana ke roya, Ajeeb hai ye Namaz-e-mohabbat ka silsila iqbal, Koi kaza karke roya koi ada karke roya ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠  Dasht to dasht hai dariya bhi na chhode humne,  Bahar-e-Zulmaat mein dauda diye ghode humne! ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Hai Ram ke wajood pe hindustan ko naaz Ahl-e-Najar samajhte hain usko Imam-e-Hind है राम के वजूद पे हिन्दोस्तान को नाज़ अहल-ए-नजर समझते हैं उसको इमाम-ए-हिन्द ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Lab pe aati hai dua ban ke tamanna meri zindagi shamma ki surat ho khudaya meri Ho mere dum se yunhi mere watan ki zeenat jis tarah phool se hoti hai chaman ki zeenat zindagi ho meri parwane ki soorat ya rab ilm ki shamma se ho mujhko mohabbat ya rab ho mera kaam gar...

Munawwar Rana

Hamare kuch gunahon ki saza bhi saath chalti hai Ab hum tanha nahi, dawa bhi saath chalti hai Abhi zinda hai maa meri, mujhe kuchh nahi hoga, Main Ghar se jab nikalta hun, dua bhi saath chalti hai ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Labon par uske kabhi baddua nahi hoti Bas ek maa hai jo kabhi khafa nahi hoti Iss tarah gunahon ko wo meri dho deti hai Maa bahut gusse mein hoti hai to ro deti hai ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Aye andhere, dekh le muh tera kala ho gaya, maa ne aankhe khol di ghar mein ujala ho gaya ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Teri yaadon ne bakhshi hai humein yeh zindagi warna Bahut pehle hi hum kissa kahani ho gaye hote ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Maine kal shab, chahaton ki sab kitabein faad di Sirf ek kaagaz pe likha lafz, maa rehne diya ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Chalti firti hui aankhon se azaan dekhi hai Maine jannat to nahi dekhi hai, maa dekhi hai ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Daulat se mohabbat to nahi thi mujhe lekin Bacchon ne khilaunon ki taraf dekh liya hai ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Hans ke milti hai magar kaafi thaki lagti h...