Skip to main content

Wasim Barelvi

Garib lehron pe pehre bithaye jate hain
Aur samandaron ki talashi koi nahi leta

↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠


Bas mein tere jab tak hai, kiye ja yeh drama
Har shaqs abhi teri taraf dekh raha hai
Laga hua hai paron ki wohi numaish mein
Jo keh raha tha ke udna mujhe pasand nahi

↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠


Bhatakte marzi se apni, kahin bhi kho jate hain
Hum apne bas ke hi kab the, ke tere ho jate
Are hum apni satah se gir hi nahi sake warna
Bahut se log humare bhi saath ho jate

↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠


Udaas ek mujhi ko to kar nahi jata
Woh mujhse ruth ke apne bhi ghar nahi jata
Woh din gaye ki  mohabbat thi jaan ki baazi
Kisi se ab koyi bichhde to mar nahi jata

↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠


Safar pe aaj wohi kashtiyan nikalti hain
Jinhe khabar hai, hawayen bhi tez chalti hain
Meri hayat se shayad woh mod chhoot gaye
Bagair simton ke raahen jahan nikalti hain
Humare bare mein likhna to bas yehi likhna
Kahan ki shamme hain kin mehfilon mein jalte hain

↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠


Bahut kareeb huye ja rahe ho socho to
Itni gurbate jismon se kab sambhalti hain
Wasim aao, in aankhon ko gaur se dekho
Yehi to hain jo mere faisle badalti hain

↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠

Kisi ko kaise bataye jarurate apni
madad mile na mile, Aabru to jaati hai

 ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠

rishta saaye mein na rakha kisi deewar ke saath
maine baanta hi nahi gham ki gamkhwaar ke saath

Chahate rishton mein badli to chamak kho baithi
zindagi tune bade khel kiye pyar ke saath

khudko milne ko kisi roz taras jaoge
shauk mein aa to gaye ho kisi fankar ke saath

apni khaamoshi ko awaz bana lo warna
poster ki tarah chipke raho deewar ke saath

रिश्ता साये में न रखा किसी दीवार के साथ
मैने बांटा ही नही ग़म किसी ग़मख्वार के साथ

चाहतें रिश्तों मे बदली तो चमक खो बैठी
ज़िन्दगी तुने बडे़ खेल किए प्यार के साथ

खुदको मिलने को किसी रोज़ तरस जाओगे
शौक़ में आ तो गये हो किसी फ़नकार के साथ

अपनी खामाेशी को आवाज़ बना लो वरना
पोस्टर की तरह चिपके रहो दीवार के साथ

 ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠


Beh gaya waqt ke sailaab mein rishton ka Guroor

Kitna chaaha tha ki apno ko nahi chhodenge

बह गया वक्त के सैलाब में रिश्तों का गुरूर,

कितना चाहा था कि अपनों को नहीं छोड़ेंगे
 ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠
Usoolon pe jahan aanch aaye takrana jaruri hai
Jo zinda ho to fir zinda nazar aana jaruri hai

nayi umron ki kuhdmukhtariyon ko kaun samjhaye
kahan se bach ke chalna hai kahan jana jaruri hai
thake haare parindey jab basere ke liye laute
saleeqamand shaakhon ka lachak jana jaruri hai

bahut bebaak aankhon mein Ta'lluk tik nahi pata
mohabbat mein koshish rakhne ko sharmana jaruri hai
saleeqa hi nahi shayad use mehsoos karne ka 
jo kehta hai khuda hai to nazar aana jaruri hai

mere hontho pe apni pyas rakh do aur fir socho

ki iske baad bhi duniya mein kuchh pana jaruri hai

उसूलों पे जहाँ आँच आये टकराना ज़रूरी है
जो ज़िन्दा हों तो फिर ज़िन्दा नज़र आना ज़रूरी है

नई उम्रों की ख़ुदमुख़्तारियों को कौन समझाये
कहाँ से बच के चलना है कहाँ जाना ज़रूरी है
थके हारे परिन्दे जब बसेरे के लिये लौटें
सलीक़ामन्द शाख़ों का लचक जाना ज़रूरी है

बहुत बेबाक आँखों में त'अल्लुक़ टिक नहीं पाता
मुहब्बत में कशिश रखने को शर्माना ज़रूरी है
सलीक़ा ही नहीं शायद उसे महसूस करने का
जो कहता है ख़ुदा है तो नज़र आना ज़रूरी है

मेरे होंठों पे अपनी प्यास रख दो और फिर सोचो

कि इसके बाद भी दुनिया में कुछ पाना ज़रूरी है
 ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠


Jayedaade kahan banti inmein
jaydaadon mein bant gaye bhai

↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠

Pani pe tairti huyi yeh laash dekhye
aur sochye doobna kitna muhaal hai

↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠

roshni se hain daaman bachaaye
kitne khuddar hote hain saaye

↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠

kisi ka raaz kisi se kabhi nahi kehte
yeh ehtiyaat andheron mein payi jati hai

↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠

Faisla ho hi nahi paya bahut baaton ke baad
kaun khulta hai yahan kitni mulakaton ke baad

aansuon ke saamne patthardili ki kya bisaat
acche acche ghar darak jate hain barsaaton ke baad

↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠

khul ke milne ka saleeka aapko aata nahi
aur mere paas koi chor darwaza nahi

woh samajhta tha main use pakar hi main reh jaunga
use meri pyaas ki shiddat ka andaaza nahi

ja dikha dunya ko mujhko kya dikhata hai guroor
tu samandar hai to ho main to magar pyaasa nahi

↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠

jawan najron pe kab ungli uthana bhool jate hain
purane log hain, apna zamana bhool jate hain

koi tooti si kashti hi bagawat par utar aaye
to kuchh din to yeh toofan sar uthana bhool jate hain

jinhe aapas mein takrane se hi fursat nahi milti

unhi sakhon ke patte leh lehana bhool jate hain
↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠
↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠
आंख कहे दिन निकला है,दिन ये कहे है रात
भला मैं मानूं किस की बात

मंदिर चुप है मस्जिद चुप है,नफरत बोल रही है
और सियासत ज़हर कहां तक पहुंचा,तौल रही है
कुछके लिए ये आग का मौसम, कुछ के लिए बरसात
भला मैं मानूं किस की बात

जिस्म को आग लगाने पर,मजबूर है पेट की आग
फूलों में अंगारे पहने, घर घर पहुंची आग
कोई कहे इसको परिवर्तन,कोई सियासी घात
भला मैं मानूं किसकी बात

औरत के सम्मान से बढ़कर,औरत की मजबूरी
मर्द को पूरा करने में ही,औरत हुई अधूरी
जनम जनम उसकी हो जाए,जिसको थमादे हाथ
भला मैं मानूं किसकी बात
↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠
↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠

Comments

Popular posts from this blog

Zubair Ali Tabish

Main kya bataun woh kitna kareeb hai mere mera khayal bhi usko sunai deta hai woh jisne aankh ata'a ki hai dekhne ke liye usi ko chhod ke sab kuch dikhai deta hai isi khushi ne mera dum nikal rakha hai ke usne ab bhi mera ghum sambhal rakha hai main khaak hi to hun aakhir mera banega kya mujhe kumhaar ne chakkar mein daal rakha hai ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ rokar apni har zid manwa sakta hun main pani se patthar pighla sakta hun shukr hai koi chadar mere pass nahi jitne marzi paanv faila sakta hun mujhko itni dhoom se rukhsat mat kijiye mera kya main wapas bhi aa sakta hun ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Paheli zindagi ki, kab tu aye nadaan samjhega bahut dushwariyan hongi agar aasaan samjhega kisi bhuke se mat puchho mohabbat kisko kehte hain tum aanchal bichhao-ge woh dastarkhwan samjhega ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Is zamane ko zamane ki ada'a aati hai aur ek hum hain humein sirf wafa'a aati hai Chudiyan bech ke woh layi mere liye guitar taar chhedun to kha...

Rahat Indori

Faisla jo kuch bhi ho, manjoor hona chahiye jung ho ya ishq ho bharpur hona chahiye ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Raat ki dhadkan jab tak jaari rehti hai sote nahi hum, zimedaari rehti hai ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Nadi ne dhoop se kya keh diya rawani mein ujale paanv patakne lage hain paani mein Ab itni sari shabon ka hisab kaun rakhe bade sawab kamaye gaye jawani mein ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Jagne ki bhi, jagane ki bhi aadat ho jaye kash tujh ko kisi shayar se mohabbat ho jaye door hum kitne dino se hain kabhi gaur kiya fir na kehna jo amanat mein khayanat ho jaye Ukhde padte hain mere qabr ke patthar har din tum jo aa jao kisi din to marammat ho jaye jugnuon tumko naye chand ugane honge isse pehle ke andheron ki hukumat ho jaye   ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ sarhadon par bahut tanav hai kya kuch pata to karo chunav hai kya ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Kahan jayen kidhar jayen pareshan haal rehte hain jahan hum panv rakhte hain, wahan bhuchal rehte hain mere sone ki ganga mein, meri chandi ki jamuna mein sunehri machliyan ...

Kavi Dushyant Kumar

Ho gayi hai peer parvat si pighalni chahiye Is Himalay se koi Ganga nikalni chahiye Aaj yeh deewar pardon ki tarah hilne lagi shart hai yeh lekin ki yeh buniyad hilni chahiye Har Sadak par, har gali mein, har nagar har gaon mein haath lehrate hue, har laash chalni chahiye Sirf hungama khada karna mera maqsad nahi meri koshish hai ki ye surat badalni chahiye mere seene mein nahi to tere seene mein sahi ho kahin bhi aag lekin aag jalni chahiye ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ हो गयी है पीर पर्वत सी पिघलनी चाहिए इस हिमालय से कोई गंगा निकालनी चाहिए आज ये दीवार पर्दों की तरह हिलने लगी शर्त है यह लेकिन की, यह बुनियाद हिलनी चाहिए हर सड़क पर, हर गली में, हर नगर, हर गाओं में हाँथ लहराते हुए, हर लाश चलनी चाहिए सिर्फ हंगामा खड़ा करना मेरा मक़सद नहीं मेरी कोशिश है की ये सूरत बदलनी चाहिए मेरे सीने में नहीं तो तेरे सीने में सही हो कहीं भी आग, लेकिन आग जलनि चाहिए ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Yahan to sirf gunge aur behre log baste hain khuda jane wahan kis tarah jalsa ...