Jaago fir ek baar
↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠
Jaago fir ek baar
pyar jagaate huye haare sab taare tumhe
arun-pankh tarun-kiran
khadi kholti hai duwaar
jaago fir ek baar
Aankhen aliyon si
kis madhu ki galiyon mein fansi,
band kar paakhen
pi rahi hai madhu maun
athva soyi kamal-korakon mein?
band ho raha gunjaar
jaago fir ek baar
Astaachal chale ravi,
shashi-chhavi vibhaavari mein
chitrit huyi hai dekh
yaminigandha jagi,
ektak chakor-kor darshan-priya,
aashaaon bhari maun bhasa bahu bhavmayi
gher raha chandra ko chaav se
shishir-bhaar-vyaakul kul
khule phool jhuke huye,
aaya kaliyon mein madhur
mad-ur-yauvan ubhaar
jaago fir ek baar
pioo-rav papihe priya bol rahe,
sej par virah-vidagdha vadhu
yaad kar beeti baatein, raatein man-milan ki
moond rahi palke chaaru
nayan jal dhal gaye
laghutar kar vyatha-bhaar
jaago fir ek baar
sa-hriday sameer jaise
ponchhon priya, nayan neer
shayan-shithil baahein
bhar svapnil aavesh mein,
aatur ur vasan-mukt kar do,
sab supti sukhonmaad ho,
chhoot chhoot alas
phail jaane do peeth par
kalpana se koman
ritu-kutil prasaar-kaami kesh-gucchha
tan man thak jayen,
mridu surabhi-si sameer mein
buddhi buddhi mein ho leen
man mein man, jee jee mein,
ek anubhav behta rahe
ubhay aatmaaon mein,
kab se main rahi pukaar
jaago fir ek baar!
jage Arunachal mein ravi
aayi bhaarti-rati kavi-kanth mein,
chhann-chhann mein parivartit
hote rahe prakriti-pat,
gaya din, aayi raat,
gayi raat, khula din
aise hai sansaar ke beete din, paksha, maas,
varsh kitne hi hazaar
jaago fir ek baar!
↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠
Comments
Post a Comment