Bharat ka yeh reshmi nagar
↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠
Bharat dhoolon se bhara, aansuon se geela, bhaarat ab bhi vipatti ke ghere mein,
Dilli mein to hai khoob jyoti ki chehel pehel, par, bhatak raha hai sara desh andhere mein,
reshmi kalam se bhaagya-lekh likhnewaalon, tum bhi abhaav se kabhi grast ho roye ho?
beemaar kisi bacche ki dawa jutaane mein, tum bhi kya ghar bhar pet baandhkar soye ho?
asahaay kisaano ki kismat ko kheton mein, kya jal mein bah jaate dekha hai?
kya khayenge? yeh soch niraash se paagal, bechaaron ki nirav rah jate dekha hai?
dekha hai graamon ki anek rambhaavon ko, jinki aabha par dhool abhi tak chhayi hai?
reshmi deh par jin abhaaginon ki ab tak resham kya? saadi sahi nahi chadh payi hai,
par tum nagaron ke laal, ameeron ke putle, kyon vyatha bhagyheeno ki man mein laaoge?
jalta ho saara desh, kintu, hokar adheer tum daud-daudkar kyon yeh aag bujhaaoge?
chinta ho bhi kyon tumhe, gaon ke jalne se, dilli mein to rotiyan kam nahi hoti hain
dhulta na ashr-boondon se aankhon se kaajal, gaalon par ki dhuliyan nahi nam hoti hain,
jalte hain to ye gaaon desh ke to jala karein, aaram nayi dilli apna kab chhodegi?
ya rakhkhegi marghat mein bhi reshmi mahal, ya aandhi ki khaakar chapet sab chhodegi
↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠
Comments
Post a Comment