Skip to main content

Munawwar Rana

Hamare kuch gunahon ki saza bhi saath chalti hai
Ab hum tanha nahi, dawa bhi saath chalti hai
Abhi zinda hai maa meri, mujhe kuchh nahi hoga,
Main Ghar se jab nikalta hun, dua bhi saath chalti hai

↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠

Labon par uske kabhi baddua nahi hoti
Bas ek maa hai jo kabhi khafa nahi hoti
Iss tarah gunahon ko wo meri dho deti hai
Maa bahut gusse mein hoti hai to ro deti hai

↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠

Aye andhere, dekh le muh tera kala ho gaya,
maa ne aankhe khol di ghar mein ujala ho gaya

↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠

Teri yaadon ne bakhshi hai humein yeh zindagi warna
Bahut pehle hi hum kissa kahani ho gaye hote

↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠

Maine kal shab, chahaton ki sab kitabein faad di
Sirf ek kaagaz pe likha lafz, maa rehne diya

↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠

Chalti firti hui aankhon se azaan dekhi hai
Maine jannat to nahi dekhi hai, maa dekhi hai

↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠

Daulat se mohabbat to nahi thi mujhe lekin
Bacchon ne khilaunon ki taraf dekh liya hai

↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠

Hans ke milti hai magar kaafi thaki lagti hai
Unki aankhen kai sadiyon ki jagi lagti hai

↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠

Kisi ke zakhm par chahat se patti kaun bandhega
Agar behne nahi hongi to raakhi kaun bandhega

↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠

Kisi ko ghar mila hisse mein ya kisi ko dukaan aai
Main ghar mein sabse chhota tha, mere hisse meri maa aai

↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠

Lipat jaata hun maa se aur mausi muskurati hai
Main urdu mein ghazal kehta hun aur hindi muskurati hai

↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠


Pehle yeh kaam bade pyar se maa karti thi
Ab humein dhoop jagati hai to dukh hota hai
Umr kabhi bete ki maa se na puchhi jaye
Maa to jab chhod ke jati hai to dukh hota hai

↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠


Apni hi sadko'n pe chaltey huwey darr lagta hai,
Tum agar pooch rahe ho to Mera haal hai ye.
Aisey haalaat ke sooraj bhi na ghar se nikla,
Aur Tum Hum se ye kehte ho Naya Saal hai ye.

↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠


Bahut paani barasta hai to mitti baith jaati hai,
Na roya kar bahut rone  se chhaati baith jaati hai.
Yahi mausam tha jab nange badan chhat par tehalte the,
Yahi mausam hai ab seene me'n sardee baith jaati hai.

↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠


Chiraagh jalne lagey, Ghar diyo'n ne gher liya,
Andhere Dekh Tujhe Jugnuo'n ne gher liya.

↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠
Ajab Duniya hai Titli ke paro'n ko noch Leti hai, Ajab Titli hai par nuchney pe bhi roya nahi'n karti.

↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠

Main ik fakir ke honton ki muskurahat hun
kisi se bhi meri qeemat ada'a nahi hoti

↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠


बहुत मुमकिन है अब मेरा चमन वीरान हो जाए,
सियासत के शजर पर घौंसले उल्लू लगाते हैं।

Bahut mumkin hai ab mera chaman veeran ho jaaye,
Siyasat ke shajar par ghaunsley ullu lagaate'n hain.

↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Har ek awaaz ab Urdu ko faryaadi batati hai yeh pagli fir bhi khudko abtak shehzaadi batati hai kayi baatein mohabbat sabko buniyadi batati hai jo pardadi batati hai, wahi dadi batati hai jahan pichle kai barson se kale naag baithe hain wahan ek ghonsla chidyon ka tha, dadi batati thi ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ kalandar sange marmar ke makaano mein nahi milta main asli ghee hun, baniyon ki dukano mein nahi milta to fir duniya mein mere chahne wale kahan hote yeh ek accha sher hai, ye karkhano mein nahi milta Sagi behno mein rishta hai jo urdu aur hindi ka duniyan ke kisi zinda zubano mein nahi milta Fiza se shaam hote hi, parindey laut aate hain zameen par jo shukoon hai aasamano mein nahi milta

↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Thakan ko odh ke bistar mein jake let gaye hum apni qabr-e-mukarrar mein jake let gaye tamam umr hum ek dusre se ladte rahe magar mare to jake barabar mein let gaye

↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ bahut pani barasta hai to mitti baith jati hai na roya kar, rone se chhati baith jati hai bade budhe kuwein mein nekiyan kyun fenk aate hain kuwein mein yeh neki chhupke kyun baith jati hai

↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ naqab ulte huye, jab bhi chaman se woh guzarta hai samajh kar phool uske lab pe titli baith jati hai yehi mausam tha, jab nange badan chhat par tahalte the yehi mausam hai, ab seene mein sardi baith jati hai

↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ siyasat nafraton ka zakhm bharne hi nahi deti jahan barne pe aata hai, to makkhi baith jati hai main dushman hi sahi aawaz de mujhko mohabbat se saleeke se bitha kar dekh, haddi baith jati hai

↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ main iske naaz uthata hun, so ye aisa nahi karti ye mitti mere hathon ko kabhi maila nahi karti khilano ki dukano ki taraf se aap kyun guzre yeh bacche ki tamanna hai, ye samjhauta nahi karti shaheedon ki zameen hai, isko hindustan kehte hain ye banzar hoke bhi buzdil kabhi paida nahi karti azab dunya hai, titli ke paron ko noch leti hai azab titli hai, par nuchne par bhi roya nahi karti

↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ siyasat kis hunarmandi se sacchai chhupati hai ke jaise, siskiyon ka zakhm shehnai chhupati hai jo iski teh mein jata hai, woh fir wapas nahi aata jaise nadi har tairne wale se gehrai chhupati hai ye bacchi chahti hai, aur kuchh din maa ko khush rakhna ye kapdo ki madad se apni lambai chhupati hai

↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ kisi ki zakhm par chahat se patti kaun bandhega agar behne nahi hongi to rakhi kaun bandhega jahan ladki ki izzat lootna ek khel ban jaye wahan par aye kabootar, teri chitthi kaun bandega tumhare mehfilon mein hum bade budhe bahut jaruri hain agar hum hi nahin honge to pagdi kaun bandhega

↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠

Comments

  1. Awesome post keep it up. I like your post you work well.relationship status

    ReplyDelete
  2. Nice post i love to read it you work well and also your writing style super good.Awesome post keep it up. I like your post you work well. Entire post really Awesome! Thank you for all the hard work you put into it. It's really shows. i read you all post i love to read your post and you work well. whatsapp group names

    ReplyDelete
  3. Thank you for all the hard work you put into it. It's really shows. i read you all post i love to read your post and you work well. love status english

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

Allama Muhammad Iqbal

Ilm mein bhi surur hai lekin Yeh woh zannat hai jismein hoor nahi. ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠  Apne man mein doob kar pa ja surag aye zindagi Tu agar mera nahi banta to na ban, apna to ban. ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠  Koi ebadat ki chahat me roya, Koi ebadat ki raah me roya, Koi yar ki bewafai pe roya, Koi yar ko mana ke roya, Ajeeb hai ye Namaz-e-mohabbat ka silsila iqbal, Koi kaza karke roya koi ada karke roya ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠  Dasht to dasht hai dariya bhi na chhode humne,  Bahar-e-Zulmaat mein dauda diye ghode humne! ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Hai Ram ke wajood pe hindustan ko naaz Ahl-e-Najar samajhte hain usko Imam-e-Hind है राम के वजूद पे हिन्दोस्तान को नाज़ अहल-ए-नजर समझते हैं उसको इमाम-ए-हिन्द ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Lab pe aati hai dua ban ke tamanna meri zindagi shamma ki surat ho khudaya meri Ho mere dum se yunhi mere watan ki zeenat jis tarah phool se hoti hai chaman ki zeenat zindagi ho meri parwane ki soorat ya rab ilm ki shamma se ho mujhko mohabbat ya rab ho mera kaam garibon ki himayat kar

Zubair Ali Tabish

Main kya bataun woh kitna kareeb hai mere mera khayal bhi usko sunai deta hai woh jisne aankh ata'a ki hai dekhne ke liye usi ko chhod ke sab kuch dikhai deta hai isi khushi ne mera dum nikal rakha hai ke usne ab bhi mera ghum sambhal rakha hai main khaak hi to hun aakhir mera banega kya mujhe kumhaar ne chakkar mein daal rakha hai ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ rokar apni har zid manwa sakta hun main pani se patthar pighla sakta hun shukr hai koi chadar mere pass nahi jitne marzi paanv faila sakta hun mujhko itni dhoom se rukhsat mat kijiye mera kya main wapas bhi aa sakta hun ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Paheli zindagi ki, kab tu aye nadaan samjhega bahut dushwariyan hongi agar aasaan samjhega kisi bhuke se mat puchho mohabbat kisko kehte hain tum aanchal bichhao-ge woh dastarkhwan samjhega ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Is zamane ko zamane ki ada'a aati hai aur ek hum hain humein sirf wafa'a aati hai Chudiyan bech ke woh layi mere liye guitar taar chhedun to kha