Ragon mein daudte firne ke hum nahi qaayal
Jab aankh se hi na tapka to fir lahu kya hai
Bazeechaaye atfaal hai dunya mere aage
Hota hai shabo roz tamasha mere aage
Qai’de hayaat -o-bando ghum, asl mein dono ek hain
Maut se pehle aadmi ghum se nijaat paye kyun
Hazaaro’n khwaahishen aisi ki har khwaahish pe dum nikle
Bahut nikle mere armaa’n magar fir bhi kam nikle
Waiz, teri dua’a me asar ho
To masjid ko hila ke dikha
Nahi to do ghoont pi.
Hum ne mohabbat ke nashe mein aakar use khuda bana daala
Hosh tab aaya, jab usne kaha khuda kisi ek ka nahi hota’a
Aah ko chahiye ik umr asar hone tak,
Kaun jeeta hai teri umr ke sa’r hone tak
↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠
↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠
Dil’e nadaan tujhe hua’a kya hai,
Aakhir is dard ki dawa’a kya hai
↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠
↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠
Bas ki duswaar hai, har kaam ka aasaan hona
Aadmi ko bhi mayassar nahi insaan hona
Hain aur bhi dunya mein sukhan, var bahut acche
Kehte hain ki ghalib ka hai andaaz-e-bayaan aur
Hum ko maalum hai zannat ki haqeeqat lekin
Dil ke khush rakhne ko Ghalib yeh khyaal accha hai
↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠
Jate huye kehte ho, quayamat ko milenge
kya khoob quayamat ka hai, goya koi din aur.
↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠
Jate huye kehte ho, quayamat ko milenge
kya khoob quayamat ka hai, goya koi din aur.
↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠
Ki wafa humse, ghair ise zafa kehte hain,
hoti aayi hai, ke acchhon ko bura kehte hain.
↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠
Comments
Post a Comment