Skip to main content

Kanwal Bharti

Ek Ragni
Ab bhagwa hi bhagwan, badhai naye varsh ki
------------------------------------------------------------

Bhartiya is loktantra ki ho rahi hindu pehchaan
Badhaayi naye varsh ki, teri jai jai hindustan!!
Tek!!
Ramchandra UP mein laute, aur haryana mein Geeta!
Chala himachal mein bhi bhagwa, Gujarat ko fir se jeeta!
Hindutva ko mila subheeta, bharega unchi udaan !!1!!
Badhaayi naye varsh ki, teri jai jai hindustan!!


Chinta kya rozgaar nahi to, hindutva ko piyo khao!
Hindutva hi sabkuchh de dega, hindutva ko odho bichhao!
Hindutva ka dar baithao, tere pure honge armaan!!2!!
Badhaayi naye varsh ki, teri jai jai hindustan!!


Kitna accha mausam aaya, bhagwa ne rang jamaya!
Nyayalay ki chhat pe chadh ke bhagwa jhanda phehraya!
Sambhal ke chalna bhaya, ab bhagwa hi bhagwan!!3!!
Badhaayi naye varsh ki, teri jai jai hindustan!!


Khush ho le nav varsh aaj tu, tera khappar khoob bharega!
Pidit aur garib janon ki, hindutva na fikar karega!
Kanwal bemaut marega, dalit, isaai, Musalmaan!!4!!
Badhaayi naye varsh ki, teri jai jai hindustan!!
(Kanwal Bharti)

Comments

Popular posts from this blog

Zubair Ali Tabish

Main kya bataun woh kitna kareeb hai mere mera khayal bhi usko sunai deta hai woh jisne aankh ata'a ki hai dekhne ke liye usi ko chhod ke sab kuch dikhai deta hai isi khushi ne mera dum nikal rakha hai ke usne ab bhi mera ghum sambhal rakha hai main khaak hi to hun aakhir mera banega kya mujhe kumhaar ne chakkar mein daal rakha hai ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ rokar apni har zid manwa sakta hun main pani se patthar pighla sakta hun shukr hai koi chadar mere pass nahi jitne marzi paanv faila sakta hun mujhko itni dhoom se rukhsat mat kijiye mera kya main wapas bhi aa sakta hun ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Paheli zindagi ki, kab tu aye nadaan samjhega bahut dushwariyan hongi agar aasaan samjhega kisi bhuke se mat puchho mohabbat kisko kehte hain tum aanchal bichhao-ge woh dastarkhwan samjhega ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Is zamane ko zamane ki ada'a aati hai aur ek hum hain humein sirf wafa'a aati hai Chudiyan bech ke woh layi mere liye guitar taar chhedun to kha

Haanth me unke jo talwar hai

Haanth me unke jo talwar hai, Meri gardan ki sayad talabghar hai. Har taraf menhngaai ki maar hai, Besharam haye,haye,sarkar hai. Dindahade ranharni jo hai karta yahan, Wahi dekho rahbari ka dawedar hai. Khud ko sadhu kahta hai lutera yaha, Haye, dekho ye kaisa gaddar hai. Hosh walob tum khud ab Karo faisle, Kaon gaddar hai,kaon wafadar hai. Kabhi Delhi, Banaras, Jaipur or Bangalore, Bari,bari dahsat gardi ka shikar hai. Kaunsi hai bala jo ab aati nahi, Bat ranharni,usmat dari ki sirf bekar hai. Safed-poshon haqeekat ko samjho jara, Kaun in sab ke liye zimmedaar hai. Kitne din ke maa`jid hai rab ye saza, Jisme roo`h bhi shayad giraftar hai. Ai khalik do jahan aman de ve baha, Hai ta`alib multaza garcha khatakar hai. ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠         By - Abid rukhsan talab

Munawwar Rana

Hamare kuch gunahon ki saza bhi saath chalti hai Ab hum tanha nahi, dawa bhi saath chalti hai Abhi zinda hai maa meri, mujhe kuchh nahi hoga, Main Ghar se jab nikalta hun, dua bhi saath chalti hai ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Labon par uske kabhi baddua nahi hoti Bas ek maa hai jo kabhi khafa nahi hoti Iss tarah gunahon ko wo meri dho deti hai Maa bahut gusse mein hoti hai to ro deti hai ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Aye andhere, dekh le muh tera kala ho gaya, maa ne aankhe khol di ghar mein ujala ho gaya ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Teri yaadon ne bakhshi hai humein yeh zindagi warna Bahut pehle hi hum kissa kahani ho gaye hote ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Maine kal shab, chahaton ki sab kitabein faad di Sirf ek kaagaz pe likha lafz, maa rehne diya ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Chalti firti hui aankhon se azaan dekhi hai Maine jannat to nahi dekhi hai, maa dekhi hai ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Daulat se mohabbat to nahi thi mujhe lekin Bacchon ne khilaunon ki taraf dekh liya hai ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Hans ke milti hai magar kaafi thaki lagti h