ilaaj yeh hai ki
majboor kar diya jaaun,
varna yun
toh kisi ki nahin suni maine
↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠
main bahut ajeeb hoon,
itna ajeeb hoon ki bas,
khudko tabaah kar liya aur
malaal bhi nahin
↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠
dil tamanna se darr gaya janaab,
sara nasha utar gaya janaab
↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠
itna to janta hoon ke ab teri aarzoo,
bekaar kar raha hoon agar kar raha hoon main
↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠
kitne aish se rehte honge,
kitne itraate honge,
jaane kaise log woh honge,
jo usko bhaate honge
↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠
Ganwaayi is tamanna mein zindagi maine,
woh kaun hai jise dekha nahi kabhi maine
tera khayaal toh hai,
par tera wajood nahi,
teri liye yeh mehfil sajaayi maine
↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠
yaadon ka hisaab rakh raha hoon,
seene mein azaab rakh raha hoon
tum kuchh kahe jao,
kya kahun main,
bas dil mein jawaab rakh raha hoon
↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠
yun jo takta hai aasmaan ko tu,
koi rehta hai aasmaan mein kya
yeh mujhe chain kyun nahi padta,
ek hi shaqs tha jahaan mein kya
↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠
tu bhi chup hai, main bhi chup hun,
yeh kaise tanhaayi hai, tere saath teri yaad aai
kya tu sach much aayi hai,
husn ke jane kitne chehre husn ke jaane kitne naam
ishq ka pesha husn-parasti, ishq bada harjai hai
aaj bahut din baad main apne,
kamre tak aa nikla tha,
jyun hi darwaza khola hai, uski khushboo aayi hai
↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠
meri baahon mein behene ki saza bhi sun le,
ab bahut der mein aazaad karunga tujh ko
↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠
saare rishte tabaah kar aaya,
dil-e-barbaad apne ghar aaya
main raha umr bhar juda khud se,
yaad main khudko umr bhar aaya
↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠
aakhiri baar aah kar li hai,
maine khud se nibaah kar li hai
apne sar ik balaa toh leni thi,
maine woh zulf apne sar li hai
↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠
apna khaaka lagta hoon,
ek tamashaa lagta hoon
ab main koi shaks nahin,
uska saaya lagta hoon
↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠
Dil-e-barbaad ko aabaad kiya hai maine,
aaj muddat mein tumhe yaad kiya hai maine
↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠
ek hunar hai jo kar gaya hoon main,
sabke dil se utar gaya hoon main
kya bataun ki marr nahi paata,
jeete-jee jab se mar gaya hoon main
↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠
Junun wahi hai, wahi main,
Magar hai shahar naya.
Yahan bhi shor macha lun,
agar izazat ho.
Junun wahi hai, wahi main,
Magar hai shahar naya.
Yahan bhi shor macha lun,
agar izazat ho.
Comments
Post a Comment