Skip to main content

Imran Pratapgarhi

Rishton ka ehsaas talak na de paye
Teen saal mein koi sabak na de paye
Teen talaq pe ab woh bhasan dete hain
Jo apni biwi ko haq na de paye

↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠


Barabari ka agar sabka haal ho saheb
Fir kabhi kisi dil ko malal na ho saheb
Talaq teen pe jo teen saal qaid mile
To saat pheron pe bhi fir saat saal ho saheb

↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠


Muslim beheno ke haq ki khatir kanoon banate ho
Apni biwi ki charcha par fir chup kyun reh jate ho
Modi ji aisa duhra kirdaar kahan se late ho

↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠


Mehez ek shaqs bola kyun, nahi do teen ne bola
Wohi haq baat boli jo humare deen ne bola
Bahut se aur bhi MP bhi usi sansad mein baithe the
Magar bola to bas khulkar Asaduddin ne kyun bola

↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠


Bebas ki mazboor ki chikhen nahi sunayi deti hain
Bharat ki dastoor ki chikhen nahi sunayi deti hain
Mani Shankar aiyyar ki lafz neech sun lete hain
Chalte huye majdoor ki chickhen nahi sunayi deti hain

↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠


Roz nayi khabrein aati hain, sehron se aur gaon se
TV aur Akhbar bhare hain unhi ki lawon se
Luv jihaad ke naam ka naara baad mein khub laga lena
Pehle behen beti bachao in farzi babao se
Roz nayi khabrein aati hain, sehron se aur gaon se

↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠


Sach ki pehchaan bankar jiyo to sahi
Tum nigehbaan banke jiyo to sahi
Yeh zamana sar jhukayega sar
Tum musalman bankar jiyo to sahi

↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠
↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠

Nazm on Najeeb by Imran Pratapgarhi

Suna tha ki behad sunahri hai dilli
samandar si khamosh gehri hai dilli

Magar ek Maa ki sada sun na paye
to lagta hai gungi hai behri hai dilli

woh aankhon mein ashkon ka darya samete
woh ummeed ka ik nazariya samete

yahan keh rahi hai, wahan keh rahi hai
tadap kar ye ek maa keh rahi hai

koi puchhta hi nahi haal mera
koi la ke dede mujhe laal mera

use leke wapas chali jaungi main
palat kar kabhi fir nahi aaungi main

wohi hai budhape ka mere sahara
woh bicchda to zinda hi mar jaungi main

wohi hai meri zindagi ki kamayi
wohi to hai sadiyon ka aamaal mera

Yeh TV ke anchor kahan mar gaye hain
yeh Gandhi ke bandar kahan mar gaye hain

Meri cheekh aur meri fariyad kehna
yeh Modi se ik maa ki rubaat kehna

Kahin jhooth ki sakhsiyat beh na jaye
yeh nafrat ki deewar, chhath beh na jaye

Hai ik maa ke ashqon ka sailaab saheb
kahin aapki saltanat beh na jaye

Ujad sa gaya hai gulishtan watan ka
nahi to ye bharat tha khushaal mera

↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠
↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠

Popular posts from this blog

Zubair Ali Tabish

Main kya bataun woh kitna kareeb hai mere mera khayal bhi usko sunai deta hai woh jisne aankh ata'a ki hai dekhne ke liye usi ko chhod ke sab kuch dikhai deta hai isi khushi ne mera dum nikal rakha hai ke usne ab bhi mera ghum sambhal rakha hai main khaak hi to hun aakhir mera banega kya mujhe kumhaar ne chakkar mein daal rakha hai ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ rokar apni har zid manwa sakta hun main pani se patthar pighla sakta hun shukr hai koi chadar mere pass nahi jitne marzi paanv faila sakta hun mujhko itni dhoom se rukhsat mat kijiye mera kya main wapas bhi aa sakta hun ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Paheli zindagi ki, kab tu aye nadaan samjhega bahut dushwariyan hongi agar aasaan samjhega kisi bhuke se mat puchho mohabbat kisko kehte hain tum aanchal bichhao-ge woh dastarkhwan samjhega ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Is zamane ko zamane ki ada'a aati hai aur ek hum hain humein sirf wafa'a aati hai Chudiyan bech ke woh layi mere liye guitar taar chhedun to kha

Allama Muhammad Iqbal

Ilm mein bhi surur hai lekin Yeh woh zannat hai jismein hoor nahi. ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠  Apne man mein doob kar pa ja surag aye zindagi Tu agar mera nahi banta to na ban, apna to ban. ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠  Koi ebadat ki chahat me roya, Koi ebadat ki raah me roya, Koi yar ki bewafai pe roya, Koi yar ko mana ke roya, Ajeeb hai ye Namaz-e-mohabbat ka silsila iqbal, Koi kaza karke roya koi ada karke roya ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠  Dasht to dasht hai dariya bhi na chhode humne,  Bahar-e-Zulmaat mein dauda diye ghode humne! ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Hai Ram ke wajood pe hindustan ko naaz Ahl-e-Najar samajhte hain usko Imam-e-Hind है राम के वजूद पे हिन्दोस्तान को नाज़ अहल-ए-नजर समझते हैं उसको इमाम-ए-हिन्द ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Lab pe aati hai dua ban ke tamanna meri zindagi shamma ki surat ho khudaya meri Ho mere dum se yunhi mere watan ki zeenat jis tarah phool se hoti hai chaman ki zeenat zindagi ho meri parwane ki soorat ya rab ilm ki shamma se ho mujhko mohabbat ya rab ho mera kaam garibon ki himayat kar

Munawwar Rana

Hamare kuch gunahon ki saza bhi saath chalti hai Ab hum tanha nahi, dawa bhi saath chalti hai Abhi zinda hai maa meri, mujhe kuchh nahi hoga, Main Ghar se jab nikalta hun, dua bhi saath chalti hai ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Labon par uske kabhi baddua nahi hoti Bas ek maa hai jo kabhi khafa nahi hoti Iss tarah gunahon ko wo meri dho deti hai Maa bahut gusse mein hoti hai to ro deti hai ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Aye andhere, dekh le muh tera kala ho gaya, maa ne aankhe khol di ghar mein ujala ho gaya ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Teri yaadon ne bakhshi hai humein yeh zindagi warna Bahut pehle hi hum kissa kahani ho gaye hote ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Maine kal shab, chahaton ki sab kitabein faad di Sirf ek kaagaz pe likha lafz, maa rehne diya ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Chalti firti hui aankhon se azaan dekhi hai Maine jannat to nahi dekhi hai, maa dekhi hai ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Daulat se mohabbat to nahi thi mujhe lekin Bacchon ne khilaunon ki taraf dekh liya hai ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Hans ke milti hai magar kaafi thaki lagti h