Skip to main content

Faiz Ahmad Faiz



"Gulon mein rang bhare"
↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠


Faiz Ahmad Faiz


Gulon mein rang bhare baad-e-nau-bahaar chale
chale bhi aao ki gulshan ka karobar chale


Qafas udaas hai yaaron saba se kuchh to kaho
kahin to bahr-e-khuda aaj zikr-e-yaar chale


Kabhi to subah tire kunj-e-lab se ho aaghaz
kabhi to shab sar-e-kakul se mushk-baar chale


Bada hai dard ka rishta yeh dil gharib sahi
tumhare naam pe aayenge gham-o-saar chale


Jo hum pe guzri so guzri magar shab--e-hijraan
humare ashk teri aqibat sanvaar chale


Huzur-e-yaar huyi daftar-junun ki talab
girah mein le ke garebaan ka taar taar chale


Maqam 'faiz' koi raah mein jacha hi nahi
jo ku-e-yaar se nikle to su-e-daar chale


↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠
↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠

Ghazal: Faiz Ahmad Faiz

"Hum Dekhenge"

Lazim hai ke
hum bhi dekhenge
wo din ke jiska wada hai
Jo lauh-e-azl mein likha hai
"Hum Dekhenge"

Jab Zulm-o-sitam ke koh-e-garan
rooi ki tarah udd jayenge
hum mehkumon ke paon tale
ye dharti dhad dhad dhadkegi
Aur Ahl-e-hakam ke sar upar
jab bijli kad kad kadkegi
"Hum Dekhenge"

Jab arz-e-khuda ke kaabe se
sab but uthwaye jayenge
hum ahl-e-safa mardood-e-haram
masnad pe bithaye jayenge
sab taaj uchale jayenge
sab takht giraye jayenge
"Hum Dekhenge"

bas naam rahega ALLAH ka
jo gayab bhi hai, hazir bhi
jo manzar bhi hai, nazir bhi
utthega anal-haq ka nara
Jo main bhi hoon, tum bhi ho
Aur raaj karegi khalq-e-khuda
Jo main bhi hoon, aur tum bhi ho

↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠
"हम देखेंगे"
लाज़िम है के
हम भी देखेंगे
वो दिन के जिसका वादा है
जो लौह-ए-अज़्ल में लिखा है
"हम देखेंगे"

जब जुल्म-ओ-सितम के कोह-ए-गराँ
रूई की तरह उड़ जायेंगे
हम मेहकुमों के पाओं तले
ये धरती धड़ धड़ धड़केगी
और अहल-ए-हकम के सर ऊपर
जब बिजली कड़ कड़ कड़केगी
"हम देखेंगे"

जब अर्ज-ए -ख़ुदा के काबे से
सब बुत उठवाये जायेंगे
हम अह्ल-ए -सफा मरदूद-ए -हरम
मस्नद पे बिठाये जायेंगे
सब ताज उछाले जायेंगे
सब तख़्त गिराए जायेंगे
"हम देखेंगे"

बस नाम रहेगा अल्लाह का
जो गायब भी है, हाज़िर भी
जो मंज़र भी है, नाज़िर भी
उट्ठेगा अनल-हक़ का नारा
जो मैं भी हूँ और तुम भी हो
और राज़ करेगी ख़ल्क-ए-ख़ुदा
जो मैं भी हूँ और तुम भी हो
"हम देखेंगे"



Comments

Popular posts from this blog

Zubair Ali Tabish

Main kya bataun woh kitna kareeb hai mere mera khayal bhi usko sunai deta hai woh jisne aankh ata'a ki hai dekhne ke liye usi ko chhod ke sab kuch dikhai deta hai isi khushi ne mera dum nikal rakha hai ke usne ab bhi mera ghum sambhal rakha hai main khaak hi to hun aakhir mera banega kya mujhe kumhaar ne chakkar mein daal rakha hai ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ rokar apni har zid manwa sakta hun main pani se patthar pighla sakta hun shukr hai koi chadar mere pass nahi jitne marzi paanv faila sakta hun mujhko itni dhoom se rukhsat mat kijiye mera kya main wapas bhi aa sakta hun ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Paheli zindagi ki, kab tu aye nadaan samjhega bahut dushwariyan hongi agar aasaan samjhega kisi bhuke se mat puchho mohabbat kisko kehte hain tum aanchal bichhao-ge woh dastarkhwan samjhega ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Is zamane ko zamane ki ada'a aati hai aur ek hum hain humein sirf wafa'a aati hai Chudiyan bech ke woh layi mere liye guitar taar chhedun to kha...

Allama Muhammad Iqbal

Ilm mein bhi surur hai lekin Yeh woh zannat hai jismein hoor nahi. ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠  Apne man mein doob kar pa ja surag aye zindagi Tu agar mera nahi banta to na ban, apna to ban. ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠  Koi ebadat ki chahat me roya, Koi ebadat ki raah me roya, Koi yar ki bewafai pe roya, Koi yar ko mana ke roya, Ajeeb hai ye Namaz-e-mohabbat ka silsila iqbal, Koi kaza karke roya koi ada karke roya ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠  Dasht to dasht hai dariya bhi na chhode humne,  Bahar-e-Zulmaat mein dauda diye ghode humne! ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Hai Ram ke wajood pe hindustan ko naaz Ahl-e-Najar samajhte hain usko Imam-e-Hind है राम के वजूद पे हिन्दोस्तान को नाज़ अहल-ए-नजर समझते हैं उसको इमाम-ए-हिन्द ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Lab pe aati hai dua ban ke tamanna meri zindagi shamma ki surat ho khudaya meri Ho mere dum se yunhi mere watan ki zeenat jis tarah phool se hoti hai chaman ki zeenat zindagi ho meri parwane ki soorat ya rab ilm ki shamma se ho mujhko mohabbat ya rab ho mera kaam gar...

Munawwar Rana

Hamare kuch gunahon ki saza bhi saath chalti hai Ab hum tanha nahi, dawa bhi saath chalti hai Abhi zinda hai maa meri, mujhe kuchh nahi hoga, Main Ghar se jab nikalta hun, dua bhi saath chalti hai ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Labon par uske kabhi baddua nahi hoti Bas ek maa hai jo kabhi khafa nahi hoti Iss tarah gunahon ko wo meri dho deti hai Maa bahut gusse mein hoti hai to ro deti hai ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Aye andhere, dekh le muh tera kala ho gaya, maa ne aankhe khol di ghar mein ujala ho gaya ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Teri yaadon ne bakhshi hai humein yeh zindagi warna Bahut pehle hi hum kissa kahani ho gaye hote ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Maine kal shab, chahaton ki sab kitabein faad di Sirf ek kaagaz pe likha lafz, maa rehne diya ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Chalti firti hui aankhon se azaan dekhi hai Maine jannat to nahi dekhi hai, maa dekhi hai ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Daulat se mohabbat to nahi thi mujhe lekin Bacchon ne khilaunon ki taraf dekh liya hai ↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠ Hans ke milti hai magar kaafi thaki lagti h...