Mera har sher haqiqat ki hai zinda tasvir
Apne ashaar mein qissa nahin likhkha maine
↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠
ab naam nahin kaam ka qayal hai zamana
ab naam kisi shaḳhs ka ravan na milega
↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠
chaho to meri aankhon ko aaina bana lo
dekho tumhe aisa koi darpan na milega
↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠
musalsal dhoop mein chalna charaghon ki tarah jalna
yeh hungame mujhe waqt se pehle thaka denge
↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠
na jaane kyun adhoori hi mujhe tasveer jachti hai
main kaagaj haath mein lekar faqat chehra banata hoon
↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠
Main apne saath rakhta hoon sada akhlaq ka paaras
Issi patthar se mitti chhoo ke main sona banata hoon
↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠
Khiraj mujh ko diya aane wali sadiyon ne
Buland neze pe jab hi hua hai sar mera
↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠
Koi puchhega jis din waqai ye zindagi kya hai
Zameen se ek mutthi khaak le kar hum uda denge
↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠
Thhii tayyar Bhishm pitamah ki fauj
Garajdaar jaise samandar ki mauj
↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠
Ai Arjun! hawaon ka rukh morh de
Yeh na-mardi aur buzdili chhod de
Uthho jang ke waste uthh pado
Le haath mein asla uthh pado
↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠
Yeh ek gyan hai aur ek raaz bhi
Yeh mere batane ka andaz bhi
↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠
Ai Aaqa! meri ab yeh ankhein khulin
Mujhe rehmatein barkatein ab miliin
Jo thhe mujh mein shak khatam sab ho gaye
Mere dil mein jalne lage ab diye
↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠
Na tera hai na mera hai yeh Hindostan sabka hai
Nahin samjhi gayi yeh baat to nuqsan sabka hai
↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠
↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠
umr bhar julf-e-masaail yoon hi sulajhaate rahe
dusron ke vaaste hum khud ko uljhaate rahe
haadse unke kareeb aakar palat jaate rahe
apani chaadar dekhkar jo paanv failaate rahe
jab sabak seekhaa to seekhaa dushmanon ki bajm se
doston men rehke apne dil ko behlate rahe
mustakil chalate rahe jo manjilon se jaa mile
ham najoomi hi ko apnaa haath dikhlate rahe
baa amal logon ne mustaqbil ko raushan kar liya
aur ham maa ji ke kisse roj dohraate rahe
jab bhi tanhayi mili hum apne ghum pe ro liye
mehfilon mein to sadaa hanste rahe gaate rahe
↞↜⇜⥳⬲⥵⇝↝↠
Comments
Post a Comment